khud apni aag mein saare charaagh jalte hain
ye kis hawa se hamaare charaagh jalte hain
jahaan utarta hai vo mahtaab paani mein
wahin kinaare kinaare charaagh jalte hain
tamaam raushni suraj se musta'ar nahin
kahi kahi to hamaare charaagh jalte hain
tumhaara aks hai ya aftaab ka partav
ye khaal-o-khud hain ki pyaare charaagh jalte hain
ajeeb raat utaari gai mohabbat par
hamaari aankhen tumhaare charaagh jalte hain
meri nigaah se raushan nigaar-khaana-e-husn
mere lahu ke sahaare charaagh jalte hain
na jaane kaun si manzil hai muntazir aazar
ki raahguzaar mein sitaare charaagh jalte hain
ख़ुद अपनी आग में सारे चराग़ जलते हैं
ये किस हवा से हमारे चराग़ जलते हैं
जहाँ उतरता है वो माहताब पानी में
वहीं किनारे किनारे चराग़ जलते हैं
तमाम रौशनी सूरज से मुस्तआ'र नहीं
कहीं कहीं तो हमारे चराग़ जलते हैं
तुम्हारा अक्स है या आफ़्ताब का परतव
ये ख़ाल-ओ-ख़द हैं कि प्यारे चराग़ जलते हैं
अजीब रात उतारी गई मोहब्बत पर
हमारी आँखें तुम्हारे चराग़ जलते हैं
मिरी निगाह से रौशन निगार-खाना-ए-हुस्न
मिरे लहू के सहारे चराग़ जलते हैं
न जाने कौन सी मंज़िल है मुंतज़िर 'आज़र'
कि रहगुज़र में सितारे चराग़ जलते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar
our suggestion based on Dilawar Ali Aazar
As you were reading Aankhein Shayari Shayari