kheench kar aks fasaane se alag ho jaao
be-numoo aaina-khaane se alag ho jaao
saara din saath raho saaye ki soorat apne
shaam hote hi bahaane se alag ho jaao
she'r vo likkho jo pehle kahi maujood na ho
khwaab dekho to zamaane se alag ho jaao
shaay'ri aise jhmelon se bahut aage hai
is naye aur purane se alag ho jaao
neend mein hazrat-e-yoosuf ko agar dekha hai
ain mumkin hai gharaane se alag ho jaao
ehtiraaman mere halke mein rahe ho shaamil
ehtimaaman mere shaane se alag ho jaao
us ko tasveer karo safha-e-dil par aazar
ghaib ka naqsh banaane se alag ho jaao
खींच कर अक्स फ़साने से अलग हो जाओ
बे-नुमू आइना-ख़ाने से अलग हो जाओ
सारा दिन साथ रहो साए की सूरत अपने
शाम होते ही बहाने से अलग हो जाओ
शे'र वो लिक्खो जो पहले कहीं मौजूद न हो
ख़्वाब देखो तो ज़माने से अलग हो जाओ
शाइ'री ऐसे झमेलों से बहुत आगे है
इस नए और पुराने से अलग हो जाओ
नींद में हज़रत-ए-यूसुफ़ को अगर देखा है
ऐन मुमकिन है घराने से अलग हो जाओ
एहतिरामन मिरे हल्क़े में रहे हो शामिल
एहतिमामन मिरे शाने से अलग हो जाओ
उस को तस्वीर करो सफ़हा-ए-दिल पर 'आज़र'
ग़ैब का नक़्श बनाने से अलग हो जाओ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar
our suggestion based on Dilawar Ali Aazar
As you were reading DP Shayari Shayari