neend mein khulte hue khwaab ki uryaani par
main ne bosa diya mahtaab ki peshaani par
is qabeele mein koi ishq se waqif hi nahin
log hanste hain meri chaak-girebaani par
nazar aati hai tujh aison ko shabaahat apni
main ne tasveer banaai thi kabhi paani par
ham faqeeron ko isee khaak se nisbat hai bahut
ham na baithege tire takht-e-sulaimani par
us se kuchh khaas taalluq bhi nahin hai apna
main pareshaan hua jis ki pareshaani par
paas hai lafz ki hurmat ka wagarana aazar
koi tamgha to nahin milta ghazal-khwaani par
नींद में खुलते हुए ख़्वाब की उर्यानी पर
मैं ने बोसा दिया महताब की पेशानी पर
इस क़बीले में कोई इश्क़ से वाक़िफ़ ही नहीं
लोग हँसते हैं मिरी चाक-गिरेबानी पर
नज़र आती है तुझ ऐसों को शबाहत अपनी
मैं ने तस्वीर बनाई थी कभी पानी पर
हम फ़क़ीरों को इसी ख़ाक से निस्बत है बहुत
हम न बैठेंगे तिरे तख़्त-ए-सुलैमानी पर
उस से कुछ ख़ास तअल्लुक़ भी नहीं है अपना
मैं परेशान हुआ जिस की परेशानी पर
पास है लफ़्ज़ की हुरमत का वगरना 'आज़र'
कोई तमग़ा तो नहीं मिलता ग़ज़ल-ख़्वानी पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar
our suggestion based on Dilawar Ali Aazar
As you were reading Neend Shayari Shayari