main surkh phool ko choo kar palatne waala tha
vo jazb tha ki mera jism katne waala tha
us ek rang se paida hui ye qaus-e-quzah
vo ek rang jo manzar se hatne waala tha
mere qareeb hi ik taq mein kitaaben theen
magar ye dhyaan kahi aur batne waala tha
ajeeb shaan se utri thi dhoop khwaahish ki
main apne saaye se jaise lipatne waala tha
taveel guftugoo hoti rahi sitaaron se
nigaar-khaana-e-hasti ulatne waala tha
zameen pe aamd-e-aadam ka shor barpa hua
wagarana rizq farishton mein batne waala tha
khuda ka shukr hai nashsha utar gaya mera
ki main suboo mein samundar ulatne waala tha
lapak rahi thi koi aag is taraf aazar
main us se door bahut door hatne waala tha
मैं सुर्ख़ फूल को छू कर पलटने वाला था
वो जज़्ब था कि मिरा जिस्म कटने वाला था
उस एक रंग से पैदा हुई ये क़ौस-ए-क़ुज़ह
वो एक रंग जो मंज़र से हटने वाला था
मिरे क़रीब ही इक ताक़ में किताबें थीं
मगर ये ध्यान कहीं और बटने वाला था
अजीब शान से उतरी थी धूप ख़्वाहिश की
मैं अपने साए से जैसे लिपटने वाला था
तवील गुफ़्तुगू होती रही सितारों से
निगार-ख़ाना-ए-हस्ती उलटने वाला था
ज़मीं पे आमद-ए-आदम का शोर बरपा हुआ
वगरना रिज़्क़ फ़रिश्तों में बटने वाला था
ख़ुदा का शुक्र है नश्शा उतर गया मेरा
कि मैं सुबू में समुंदर उलटने वाला था
लपक रही थी कोई आग इस तरफ़ 'आज़र'
मैं उस से दूर बहुत दूर हटने वाला था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar
our suggestion based on Dilawar Ali Aazar
As you were reading Kamar Shayari Shayari