havas se jism ko do-chaar karne waali hawa | हवस से जिस्म को दो-चार करने वाली हवा

  - Dilawar Ali Aazar

havas se jism ko do-chaar karne waali hawa
chali hui hai gunahgaar karne waali hawa

yahin kahi mera lashkar padaav daalega
yahin kahi hai girftaar karne waali hawa

tamaam seena-sipar ped jhukne waale hain
hawa hai aur nigoon-saar karne waali hawa

pade hue hain yahan ab jo sar-bureeda charaagh
guzishta raat thi yalghaar karne waali hawa

hamaari khaak udaati phire hai shahr-b-shahr
hamaari rooh ka inkaar karne waali hawa

usi kharaabe mein rahne ki thaan baithi hai
badan ka dasht nahin paar karne waali hawa

na jaane kaun taraf le ke chal pade aazar
dhuen se mujh ko numoodaar karne waali hawa

हवस से जिस्म को दो-चार करने वाली हवा
चली हुई है गुनहगार करने वाली हवा

यहीं कहीं मिरा लश्कर पड़ाव डालेगा
यहीं कहीं है गिरफ़्तार करने वाली हवा

तमाम सीना-सिपर पेड़ झुकने वाले हैं
हवा है और निगूँ-सार करने वाली हवा

पड़े हुए हैं यहाँ अब जो सर-बुरीदा चराग़
गुज़िश्ता रात थी यलग़ार करने वाली हवा

हमारी ख़ाक उड़ाती फिरे है शहर-ब-शहर
हमारी रूह का इंकार करने वाली हवा

उसी ख़राबे में रहने की ठान बैठी है
बदन का दश्त नहीं पार करने वाली हवा

न जाने कौन तरफ़ ले के चल पड़े 'आज़र'
धुएँ से मुझ को नुमूदार करने वाली हवा

  - Dilawar Ali Aazar

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari