ajeeb rang ajab haal mein pade hue hain
ham apne ahad ki paataal mein pade hue hain
sukhan-saraai koi sahal kaam thodi hai
ye log kis liye janjaal mein pade hue hain
utha ke haath pe duniya ko dekh saka hoon
sabhi nazaare bas ik thaal mein pade hue hain
jahaan bhi chaahoon main manzar utha ke le jaaun
ki khwaab deeda-e-amwaal mein pade hue hain
main shaam hote hi gardoon pe daal aata hoon
sitaare lipti hui shaal mein pade hue hain
vo tu ki apne tai kar chuka hamein takmeel
ye ham ki fikr-e-khud-o-khaal mein pade hue hain
isee liye ye watan chhod kar nahin jaate
ki ham tasavvur-e-'iqaal mein pade hue hain
savaab hi to nahin jin ka fal milega mujhe
gunaah bhi mere a'amal mein pade hue hain
tamaam aks meri dastaras mein hain aazar
ye aaine meri timsaal mein pade hue hain
अजीब रंग अजब हाल में पड़े हुए हैं
हम अपने अहद की पाताल में पड़े हुए हैं
सुख़न-सराई कोई सहल काम थोड़ी है
ये लोग किस लिए जंजाल में पड़े हुए हैं
उठा के हाथ पे दुनिया को देख सकता हूँ
सभी नज़ारे बस इक थाल में पड़े हुए हैं
जहाँ भी चाहूँ मैं मंज़र उठा के ले जाऊँ
कि ख़्वाब दीदा-ए-अमवाल में पड़े हुए हैं
मैं शाम होते ही गर्दूं पे डाल आता हूँ
सितारे लिपटी हुई शाल में पड़े हुए हैं
वो तू कि अपने तईं कर चुका हमें तकमील
ये हम कि फ़िक्र-ए-ख़द-ओ-ख़ाल में पड़े हुए हैं
इसी लिए ये वतन छोड़ कर नहीं जाते
कि हम तसव्वुर-ए-'इक़बाल' में पड़े हुए हैं
सवाब ही तो नहीं जिन का फल मिलेगा मुझे
गुनाह भी मिरे आ'माल में पड़े हुए हैं
तमाम अक्स मिरी दस्तरस में हैं 'आज़र'
ये आइने मिरी तिमसाल में पड़े हुए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar
our suggestion based on Dilawar Ali Aazar
As you were reading Patriotic Shayari Shayari