vo bahte dariya ki be-karaani se dar raha tha | वो बहते दरिया की बे-करानी से डर रहा था

  - Dilawar Ali Aazar

vo bahte dariya ki be-karaani se dar raha tha
shadeed pyaasa tha aur paani se dar raha tha

nazar nazar ki yaqeen-pasandi pe khush thi lekin
badan badan ki gumaan-risaani se dar raha tha

sabhi ko neend aa chuki thi yun to pari se mil kar
magar vo ik tifl jo kahaani se dar raha tha

larzate honton se gir pade the huroof ik din
dil apne jazbon ki tarjumaani se dar raha tha

lugaat-e-jaan se kasheed karte hue sukhun ko
main ek harf-e-ghalat maani se dar raha tha

jama hua khoon hai ragon mein na jaane kab se
ruka hua khwaab hai rawaani se dar raha tha

vo be-nishaan hai jise nishaan ki havas thi aazar
vo raayegaan hai jo raaegaani se dar raha tha

वो बहते दरिया की बे-करानी से डर रहा था
शदीद प्यासा था और पानी से डर रहा था

नज़र नज़र की यक़ीं-पसंदी पे ख़ुश थी लेकिन
बदन बदन की गुमाँ-रिसानी से डर रहा था

सभी को नींद आ चुकी थी यूँ तो परी से मिल कर
मगर वो इक तिफ़्ल जो कहानी से डर रहा था

लरज़ते होंटों से गिर पड़े थे हुरूफ़ इक दिन
दिल अपने जज़्बों की तर्जुमानी से डर रहा था

लुग़ात-ए-जाँ से कशीद करते हुए सुख़न को
मैं एक हर्फ़-ए-ग़लत मआ'नी से डर रहा था

जमा हुआ ख़ून है रगों में न जाने कब से
रुका हुआ ख़्वाब है रवानी से डर रहा था

वो बे-निशाँ है जिसे निशाँ की हवस थी 'आज़र'
वो राएगाँ है जो राएगानी से डर रहा था

  - Dilawar Ali Aazar

Beti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Beti Shayari Shayari