door ke ek nazaare se nikal kar aayi | दूर के एक नज़ारे से निकल कर आई

  - Dilawar Ali Aazar

door ke ek nazaare se nikal kar aayi
raushni mujh mein sitaare se nikal kar aayi

jis ne kashti ko duboya bekhudi samet
vo ghani mauj kinaare se nikal kar aayi

raakh jhaadi jo badan ki to achaanak baahar
aag hi aag sharaare se nikal kar aayi

ped mabahoot hue dekh ke is manzar ko
dhoop jab us ke ishaare se nikal kar aayi

aankh mein ashk riyaazat se hua hai paida
ye nami waqt ke dhaare se nikal kar aayi

kaun takiya kare mahtaab ki us raushni par
saamne bhi jo sahaare se nikal kar aayi

khud bhi hairaan hoon ye soch ke aazar ab tak
zindagi kaise khasaare se nikal kar aayi

दूर के एक नज़ारे से निकल कर आई
रौशनी मुझ में सितारे से निकल कर आई

जिस ने कश्ती को डुबोया सर-ओ-सामान समेत
वो घनी मौज किनारे से निकल कर आई

राख झाड़ी जो बदन की तो अचानक बाहर
आग ही आग शरारे से निकल कर आई

पेड़ मबहूत हुए देख के इस मंज़र को
धूप जब उस के इशारे से निकल कर आई

आँख में अश्क रियाज़त से हुआ है पैदा
ये नमी वक़्त के धारे से निकल कर आई

कौन तकिया करे महताब की उस रौशनी पर
सामने भी जो सहारे से निकल कर आई

ख़ुद भी हैरान हूँ ये सोच के 'आज़र' अब तक
ज़िंदगी कैसे ख़सारे से निकल कर आई

  - Dilawar Ali Aazar

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari