aag lag jaayegi ik din meri sarshaari ko | आग लग जाएगी इक दिन मिरी सरशारी को - Dilawar Ali Aazar

aag lag jaayegi ik din meri sarshaari ko
main jo deta hoon hawa rooh ki chingaari ko

warna ye log kahaan apni hadon mein rahte
main ne maqool kiya haashiya-bardaari ko

ye parinde hain ki darvesh hain zindaanon ke
kuch samjhte hi nahin amr-e-giriftaari ko

ab humein zindagi karne mein suhoolat di jaaye
kheench laaye hain yahan tak to giraa-baari ko

ek toofaan-e-bala-khez ne manzar badla
ped taiyyaar hue rasm-e-nigoon-saari ko

us ne vo zahar hawaon mein milaaya hai ki ab
kompalen sar na uthaaengi numoodaari ko

kaun kheenchega mere jism ki zanjeer aazar
kaun aasaan karega meri dushwaari ko

आग लग जाएगी इक दिन मिरी सरशारी को
मैं जो देता हूँ हवा रूह की चिंगारी को

वर्ना ये लोग कहाँ अपनी हदों में रहते
मैं ने माक़ूल किया हाशिया-बर्दारी को

ये परिंदे हैं कि दरवेश हैं ज़िंदानों के
कुछ समझते ही नहीं अम्र-ए-गिरफ़्तारी को

अब हमें ज़िंदगी करने में सुहूलत दी जाए
खींच लाए हैं यहाँ तक तो गिराँ-बारी को

एक तूफ़ान-ए-बला-ख़ेज़ ने मंज़र बदला
पेड़ तय्यार हुए रस्म-ए-निगूँ-सारी को

उस ने वो ज़हर हवाओं में मिलाया है कि अब
कोंपलें सर न उठाएँगी नुमूदारी को

कौन खींचेगा मिरे जिस्म की ज़ंजीर 'आज़र'
कौन आसान करेगा मिरी दुश्वारी को

- Dilawar Ali Aazar
0 Likes

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari