agar khuda na kare sach ye khwaab ho jaaye
tiri sehar ho mera aftaab ho jaaye
huzoor aariz-o-rukhsaar kya tamaam badan
meri suno to mujassam gulaab ho jaaye
utha ke fenk do khidki se saagar-o-meena
ye tishnagi jo tumhein dastiyaab ho jaaye
vo baat kitni bhali hai jo aap karte hain
suno to seene ki dhadkan rabaab ho jaaye
bahut qareeb na aao yaqeen nahin hoga
ye aarzoo bhi agar kaamyaab ho jaaye
galat kahoon to meri aqibat bigadti hai
jo sach kahoon to khudi be-naqaab ho jaaye
अगर ख़ुदा न करे सच ये ख़्वाब हो जाए
तिरी सहर हो मिरा आफ़्ताब हो जाए
हुज़ूर आरिज़-ओ-रुख़्सार क्या तमाम बदन
मिरी सुनो तो मुजस्सम गुलाब हो जाए
उठा के फेंक दो खिड़की से साग़र-ओ-मीना
ये तिश्नगी जो तुम्हें दस्तियाब हो जाए
वो बात कितनी भली है जो आप करते हैं
सुनो तो सीने की धड़कन रबाब हो जाए
बहुत क़रीब न आओ यक़ीं नहीं होगा
ये आरज़ू भी अगर कामयाब हो जाए
ग़लत कहूँ तो मिरी आक़िबत बिगड़ती है
जो सच कहूँ तो ख़ुदी बे-नक़ाब हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dushyant Kumar
our suggestion based on Dushyant Kumar
As you were reading Khuda Shayari Shayari