ye jo shehteer hai palkon pe utha lo yaaro | ये जो शहतीर है पलकों पे उठा लो यारो

  - Dushyant Kumar

ye jo shehteer hai palkon pe utha lo yaaro
ab koi aisa tareeqa bhi nikaalo yaaro

dard-e-dil waqt ko paighaam bhi pahunchaayega
is kabootar ko zara pyaar se paalo yaaro

log haathon mein liye baithe hain apne pinjare
aaj sayyaad ko mehfil mein bula lo yaaro

aaj seevan ko udhedo to zara dekhenge
aaj sandooq se vo khat to nikaalo yaaro

rahnumaaon ki adaaon pe fida hai duniya
is bahkati hui duniya ko sambhalo yaaro

kaise aakaash mein sooraakh nahin ho saka
ek patthar to tabi'at se uchaalo yaaro

log kahte the ki ye baat nahin kehne ki
tum ne kah di hai to kehne ki saza lo yaaro

ये जो शहतीर है पलकों पे उठा लो यारो
अब कोई ऐसा तरीक़ा भी निकालो यारो

दर्द-ए-दिल वक़्त को पैग़ाम भी पहुँचाएगा
इस कबूतर को ज़रा प्यार से पालो यारो

लोग हाथों में लिए बैठे हैं अपने पिंजरे
आज सय्याद को महफ़िल में बुला लो यारो

आज सीवन को उधेड़ो तो ज़रा देखेंगे
आज संदूक़ से वो ख़त तो निकालो यारो

रहनुमाओं की अदाओं पे फ़िदा है दुनिया
इस बहकती हुई दुनिया को सँभालो यारो

कैसे आकाश में सूराख़ नहीं हो सकता
एक पत्थर तो तबीअ'त से उछालो यारो

लोग कहते थे कि ये बात नहीं कहने की
तुम ने कह दी है तो कहने की सज़ा लो यारो

  - Dushyant Kumar

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dushyant Kumar

As you were reading Shayari by Dushyant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Dushyant Kumar

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari