khwaab o tabeer-e-be-nishaan main tha | ख़्वाब ओ ताबीर-ए-बे-निशाँ मैं था - Ejaz Azmi

khwaab o tabeer-e-be-nishaan main tha
ek rudaad-e-raaegaan main tha

do taraf tha hujoom sadiyon ka
ek lamha sa darmiyaan main tha

bahte paani pe jis ki thi buniyaad
khaam mitti ka vo makaan main tha

main wahan hoon jahaan nahin koi
kuch nahin tha jahaan wahan main tha

soorat-e-nuqta-e-hubaab ejaz
mehram-e-bahr-e-bekaraan main tha

ख़्वाब ओ ताबीर-ए-बे-निशाँ मैं था
एक रूदाद-ए-राएगाँ मैं था

दो तरफ़ था हुजूम सदियों का
एक लम्हा सा दरमियाँ मैं था

बहते पानी पे जिस की थी बुनियाद
ख़ाम मिट्टी का वो मकाँ मैं था

मैं वहाँ हूँ जहाँ नहीं कोई
कुछ नहीं था जहाँ वहाँ मैं था

सूरत-ए-नुक़्ता-ए-हुबाब 'एजाज़'
महरम-ए-बहर-ए-बेकराँ मैं था

- Ejaz Azmi
0 Likes

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Azmi

As you were reading Shayari by Ejaz Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Azmi

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari