ye shehar ye khwaabon ka samundar na bachega | ये शहर ये ख़्वाबों का समुंदर न बचेगा

  - Ezaz Afzal

ye shehar ye khwaabon ka samundar na bachega
jab aag lagegi to koi ghar na bachega

ya naqsh ubhaaro koi ya aks ko pujo
sheeshe ko bachaoge to patthar na bachega

ehsaas-e-raqabat se jabeenon ko bachao
takraayenge sajde to koi dar na bachega

ai neend chhupe rahne de do-chaar nazaare
jab aankh khulegi koi manzar na bachega

maqtal ki siyaasat na hamaari na tumhaari
tafriq karoge to koi sar na bachega

ये शहर ये ख़्वाबों का समुंदर न बचेगा
जब आग लगेगी तो कोई घर न बचेगा

या नक़्श उभारो कोई या अक्स को पूजो
शीशे को बचाओगे तो पत्थर न बचेगा

एहसास-ए-रक़ाबत से जबीनों को बचाओ
टकराएँगे सज्दे तो कोई दर न बचेगा

ऐ नींद छुपे रहने दे दो-चार नज़ारे
जब आँख खुलेगी कोई मंज़र न बचेगा

मक़्तल की सियासत न हमारी न तुम्हारी
तफ़रीक़ करोगे तो कोई सर न बचेगा

  - Ezaz Afzal

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Afzal

As you were reading Shayari by Ezaz Afzal

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Afzal

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari