valvale jab hawa ke baith gaye | वलवले जब हवा के बैठ गए - Fahmi Badayuni

valvale jab hawa ke baith gaye
ham bhi shamaein bujha ke baith gaye

waqt aaya jo teer khaane ka
mashware door ja ke baith gaye

eed ke roz ham fati chadar
pichhli saf mein bichha ke baith gaye

koi baaraat hi nahin aayi
ratjage ga baja ke baith gaye

naav tooti to saare parda-nasheen
saamne na-khuda ke baith gaye

be-zabaani mein aur kya karte
gaaliyaan sun-sunaa ke baith gaye

वलवले जब हवा के बैठ गए
हम भी शमएँ बुझा के बैठ गए

वक़्त आया जो तीर खाने का
मशवरे दूर जा के बैठ गए

ईद के रोज़ हम फटी चादर
पिछली सफ़ में बिछा के बैठ गए

कोई बारात ही नहीं आई
रतजगे गा बजा के बैठ गए

नाव टूटी तो सारे पर्दा-नशीं
सामने ना-ख़ुदा के बैठ गए

बे-ज़बानी में और क्या करते
गालियाँ सुन-सुना के बैठ गए

- Fahmi Badayuni
0 Likes

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fahmi Badayuni

As you were reading Shayari by Fahmi Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Fahmi Badayuni

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari