ab jo koi pooche bhi to us se kya sharh-e-halaat karein
dil thehre to dard sunaayein dard thame to baat karein
shaam hui phir josh-e-qadah ne bazm-e-harifaan raushan ki
ghar ko aag lagaayein ham bhi raushan apni raat karein
qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahu apni gardan pe
mohr-b-lab baithe hain kis ka shikwa kis ke saath karein
hijr mein shab bhar dard-o-talab ke chaand sitaare saath rahe
subh ki veeraani mein yaaro kaise basar auqaat karein
अब जो कोई पूछे भी तो उस से क्या शरह-ए-हालात करें
दिल ठहरे तो दर्द सुनाएँ दर्द थमे तो बात करें
शाम हुई फिर जोश-ए-क़दह ने बज़्म-ए-हरीफ़ाँ रौशन की
घर को आग लगाएँ हम भी रौशन अपनी रात करें
क़त्ल-ए-दिल-ओ-जाँ अपने सर है अपना लहू अपनी गर्दन पे
मोहर-ब-लब बैठे हैं किस का शिकवा किस के साथ करें
हिज्र में शब भर दर्द-ओ-तलब के चाँद सितारे साथ रहे
सुब्ह की वीरानी में यारो कैसे बसर औक़ात करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Raat Shayari Shayari