chaand nikle kisi jaanib tiri zebaai ka
rang badle kisi soorat shab-e-tanhaai ka
daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-sheerin-dehnaan
aaj arzaan ho koi harf shanaasaai ka
garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badnaan
tazkira chhede tiri pairhan-aaraai ka
sehan-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshaad-qadaan
phir nazar aaye saleeqa tiri raanaai ka
ek baar aur maseeha-e-dil-e-dil-zadagaan
koi wa'da koi iqaar masihaai ka
deeda o dil ko sambhalo ki sar-e-shaam-e-firaq
saaz-o-saamaan bahm pahuncha hai ruswaai ka
चाँद निकले किसी जानिब तिरी ज़ेबाई का
रंग बदले किसी सूरत शब-ए-तन्हाई का
दौलत-ए-लब से फिर ऐ ख़ुसरव-ए-शीरीं-दहनाँ
आज अर्ज़ां हो कोई हर्फ़ शनासाई का
गर्मी-ए-रश्क से हर अंजुमन-ए-गुल-बदनाँ
तज़्किरा छेड़े तिरी पैरहन-आराई का
सेहन-ए-गुलशन में कभी ऐ शह-ए-शमशाद-क़दाँ
फिर नज़र आए सलीक़ा तिरी रानाई का
एक बार और मसीहा-ए-दिल-ए-दिल-ज़दगाँ
कोई वा'दा कोई इक़रार मसीहाई का
दीदा ओ दिल को सँभालो कि सर-ए-शाम-ए-फ़िराक़
साज़-ओ-सामान बहम पहुँचा है रुस्वाई का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Nigaah Shayari Shayari