ham par tumhaari chaah ka ilzaam hi to hai | हम पर तुम्हारी चाह का इल्ज़ाम ही तो है

  - Faiz Ahmad Faiz

ham par tumhaari chaah ka ilzaam hi to hai
dushnaam to nahin hai ye ikraam hi to hai

karte hain jis pe ta'an koi jurm to nahin
shauq-e-fuzool o ulfat-e-naakaam hi to hai

dil muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai
ai jaan-e-jaan ye harf tira naam hi to hai

dil na-umeed to nahin naakaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai

dast-e-falak mein gardish-e-taqdeer to nahin
dast-e-falak mein gardish-e-ayyaam hi to hai

aakhir to ek roz karegi nazar wafa
vo yaar-e-khush-khisaal sar-e-baam hi to hai

bheegi hai raat faiz ghazal ibtida karo
waqt-e-sarod dard ka hangaam hi to hai

हम पर तुम्हारी चाह का इल्ज़ाम ही तो है
दुश्नाम तो नहीं है ये इकराम ही तो है

करते हैं जिस पे ता'न कोई जुर्म तो नहीं
शौक़-ए-फ़ुज़ूल ओ उल्फ़त-ए-नाकाम ही तो है

दिल मुद्दई के हर्फ़-ए-मलामत से शाद है
ऐ जान-ए-जाँ ये हर्फ़ तिरा नाम ही तो है

दिल ना-उमीद तो नहीं नाकाम ही तो है
लम्बी है ग़म की शाम मगर शाम ही तो है

दस्त-ए-फ़लक में गर्दिश-ए-तक़दीर तो नहीं
दस्त-ए-फ़लक में गर्दिश-ए-अय्याम ही तो है

आख़िर तो एक रोज़ करेगी नज़र वफ़ा
वो यार-ए-ख़ुश-ख़िसाल सर-ए-बाम ही तो है

भीगी है रात 'फ़ैज़' ग़ज़ल इब्तिदा करो
वक़्त-ए-सरोद दर्द का हंगाम ही तो है

  - Faiz Ahmad Faiz

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari