na ganwaao naavak-e-neem-kash dil-e-reza-reza ganwa diya | न गँवाओ नावक-ए-नीम-कश दिल-ए-रेज़ा-रेज़ा गँवा दिया

  - Faiz Ahmad Faiz

na ganwaao naavak-e-neem-kash dil-e-reza-reza ganwa diya
jo bache hain sang samet lo tan-e-daagh-daagh luta diya

mere chaara-gar ko naved ho saf-e-dushmanan ko khabar karo
jo vo qarz rakhte the jaan par vo hisaab aaj chuka diya

karo kaj jabeen pe sar-e-kafan mere qaatilon ko gumaan na ho
ki ghuroor-e-ishq ka baankpan pas-e-marg ham ne bhula diya

udhar ek harf ki kushtani yahan laakh uzr tha guftani
jo kaha to sun ke uda diya jo likha to padh ke mita diya

jo ruke to koh-e-giraan the ham jo chale to jaan se guzar gaye
rah-e-yaar ham ne qadam qadam tujhe yaadgaar bana diya

न गँवाओ नावक-ए-नीम-कश दिल-ए-रेज़ा-रेज़ा गँवा दिया
जो बचे हैं संग समेट लो तन-ए-दाग़-दाग़ लुटा दिया

मिरे चारा-गर को नवेद हो सफ़-ए-दुश्मनाँ को ख़बर करो
जो वो क़र्ज़ रखते थे जान पर वो हिसाब आज चुका दिया

करो कज जबीं पे सर-ए-कफ़न मिरे क़ातिलों को गुमाँ न हो
कि ग़ुरूर-ए-इश्क़ का बाँकपन पस-ए-मर्ग हम ने भुला दिया

उधर एक हर्फ़ कि कुश्तनी यहाँ लाख उज़्र था गुफ़्तनी
जो कहा तो सुन के उड़ा दिया जो लिखा तो पढ़ के मिटा दिया

जो रुके तो कोह-ए-गिराँ थे हम जो चले तो जाँ से गुज़र गए
रह-ए-यार हम ने क़दम क़दम तुझे यादगार बना दिया

  - Faiz Ahmad Faiz

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari