naseeb aazmaane ke din aa rahe hain | नसीब आज़माने के दिन आ रहे हैं

  - Faiz Ahmad Faiz

naseeb aazmaane ke din aa rahe hain
qareeb un ke aane ke din aa rahe hain

jo dil se kaha hai jo dil se suna hai
sab un ko sunaane ke din aa rahe hain

abhi se dil o jaan sar-e-raah rakh do
ki lutne lutaane ke din aa rahe hain

tapkane lagi un nigaahon se masti
nigaahen churaane ke din aa rahe hain

saba phir hamein poochhti phir rahi hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe hain

chalo faiz phir se kahi dil lagaayein
suna hai thikaane ke din aa rahe hain

नसीब आज़माने के दिन आ रहे हैं
क़रीब उन के आने के दिन आ रहे हैं

जो दिल से कहा है जो दिल से सुना है
सब उन को सुनाने के दिन आ रहे हैं

अभी से दिल ओ जाँ सर-ए-राह रख दो
कि लुटने लुटाने के दिन आ रहे हैं

टपकने लगी उन निगाहों से मस्ती
निगाहें चुराने के दिन आ रहे हैं

सबा फिर हमें पूछती फिर रही है
चमन को सजाने के दिन आ रहे हैं

चलो 'फ़ैज़' फिर से कहीं दिल लगाएँ
सुना है ठिकाने के दिन आ रहे हैं

  - Faiz Ahmad Faiz

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari