phir hareef-e-bahaar ho baithe
jaane kis kis ko aaj ro baithe
thi magar itni raayegaan bhi na thi
aaj kuchh zindagi se kho baithe
tere dar tak pahunch ke laut aaye
ishq ki aabroo dubo baithe
saari duniya se door ho jaaye
jo zara tere paas ho baithe
na gai teri be-rukhi na gai
ham tiri aarzoo bhi kho baithe
faiz hota rahe jo hona hai
sher likhte raha karo baithe
फिर हरीफ़-ए-बहार हो बैठे
जाने किस किस को आज रो बैठे
थी मगर इतनी राएगाँ भी न थी
आज कुछ ज़िंदगी से खो बैठे
तेरे दर तक पहुँच के लौट आए
इश्क़ की आबरू डुबो बैठे
सारी दुनिया से दूर हो जाए
जो ज़रा तेरे पास हो बैठे
न गई तेरी बे-रुख़ी न गई
हम तिरी आरज़ू भी खो बैठे
'फ़ैज़' होता रहे जो होना है
शेर लिखते रहा करो बैठे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz
our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz
As you were reading Tamanna Shayari Shayari