rang pairaahan ka khushboo zulf lehraane ka naam | रंग पैराहन का ख़ुशबू ज़ुल्फ़ लहराने का नाम - Faiz Ahmad Faiz

rang pairaahan ka khushboo zulf lehraane ka naam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka naam

dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
gulsitaan ki baat rangeen hai na may-khaane ka naam

phir nazar mein phool mahke dil mein phir shamaein jali
phir tasavvur ne liya us bazm mein jaane ka naam

dilbari thehra zabaan-e-khalq khulwane ka naam
ab nahin lete pari-roo zulf bikhraane ka naam

ab kisi leila ko bhi iqraar-e-mahboobi nahin
in dinon badnaam hai har ek deewane ka naam

mohtasib ki khair ooncha hai usi ke faiz se
rind ka saaqi ka may ka khum ka paimaane ka naam

ham se kahte hain chaman waale ghareebaan-e-chaman
tum koi achha sa rakh lo apne veeraane ka naam

faiz un ko hai taqazaa-e-wafa ham se jinhen
aashna ke naam se pyaara hai begaane ka naam

रंग पैराहन का ख़ुशबू ज़ुल्फ़ लहराने का नाम
मौसम-ए-गुल है तुम्हारे बाम पर आने का नाम

दोस्तो उस चश्म ओ लब की कुछ कहो जिस के बग़ैर
गुलसिताँ की बात रंगीं है न मय-ख़ाने का नाम

फिर नज़र में फूल महके दिल में फिर शमएँ जलीं
फिर तसव्वुर ने लिया उस बज़्म में जाने का नाम

दिलबरी ठहरा ज़बान-ए-ख़ल्क़ खुलवाने का नाम
अब नहीं लेते परी-रू ज़ुल्फ़ बिखराने का नाम

अब किसी लैला को भी इक़रार-ए-महबूबी नहीं
इन दिनों बदनाम है हर एक दीवाने का नाम

मोहतसिब की ख़ैर ऊँचा है उसी के फ़ैज़ से
रिंद का साक़ी का मय का ख़ुम का पैमाने का नाम

हम से कहते हैं चमन वाले ग़रीबान-ए-चमन
तुम कोई अच्छा सा रख लो अपने वीराने का नाम

'फ़ैज़' उन को है तक़ाज़ा-ए-वफ़ा हम से जिन्हें
आश्ना के नाम से प्यारा है बेगाने का नाम

- Faiz Ahmad Faiz
1 Like

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari