shaam-e-firaq ab na pooch aayi aur aa ke tal gai | शाम-ए-फ़िराक़ अब न पूछ आई और आ के टल गई

  - Faiz Ahmad Faiz

shaam-e-firaq ab na pooch aayi aur aa ke tal gai
dil tha ki phir bahl gaya jaan thi ki phir sambhal gai

bazm-e-khyaal mein tire husn ki sham'a jal gai
dard ka chaand bujh gaya hijr ki raat dhal gai

jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak uthi
jab tira gham jaga liya raat machal machal gai

dil se to har mo'amla kar ke chale the saaf ham
kehne mein un ke saamne baat badal badal gai

aakhir-e-shab ke hum-safar faiz na jaane kya hue
rah gai kis jagah saba subh kidhar nikal gai

शाम-ए-फ़िराक़ अब न पूछ आई और आ के टल गई
दिल था कि फिर बहल गया जाँ थी कि फिर सँभल गई

बज़्म-ए-ख़याल में तिरे हुस्न की शम्अ जल गई
दर्द का चाँद बुझ गया हिज्र की रात ढल गई

जब तुझे याद कर लिया सुब्ह महक महक उठी
जब तिरा ग़म जगा लिया रात मचल मचल गई

दिल से तो हर मोआ'मला कर के चले थे साफ़ हम
कहने में उन के सामने बात बदल बदल गई

आख़िर-ए-शब के हम-सफ़र 'फ़ैज़' न जाने क्या हुए
रह गई किस जगह सबा सुब्ह किधर निकल गई

  - Faiz Ahmad Faiz

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari