main kya likhoon ki jo mera tumhaara rishta hai | मैं क्या लिखूँ कि जो मेरा तुम्हारा रिश्ता है

  - Faiz Ahmad Faiz

main kya likhoon ki jo mera tumhaara rishta hai
vo aashiqi ki zabaan mein kahi bhi darj nahin
likha gaya hai bahut lutf-e-wasl o dard-e-firaq
magar ye kaifiyat apni raqam nahin hai kahi
ye apna ishq-e-ham-aaghosh jis mein hijr o visaal
ye apna dard ki hai kab se hamdam-e-mah-o-saal
is ishq-e-khaas ko har ek se chhupaaye hue
guzar gaya hai zamaana gale lagaaye hue

मैं क्या लिखूँ कि जो मेरा तुम्हारा रिश्ता है
वो आशिक़ी की ज़बाँ में कहीं भी दर्ज नहीं
लिखा गया है बहुत लुतफ़-ए-वस्ल ओ दर्द-ए-फ़िराक़
मगर ये कैफ़ियत अपनी रक़म नहीं है कहीं
ये अपना इशक़-ए-हम-आग़ोश जिस में हिज्र ओ विसाल
ये अपना दर्द कि है कब से हमदम-ए-मह-ओ-साल
इस इश्क़-ए-ख़ास को हर एक से छुपाए हुए
''गुज़र गया है ज़माना गले लगाए हुए''

  - Faiz Ahmad Faiz

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari