ye daagh daagh ujaala ye shabgazeeda sehar | ये दाग़ दाग़ उजाला, ये शबगज़ीदा सहर - Faiz Ahmad Faiz

ye daagh daagh ujaala ye shabgazeeda sehar
vo intezaar tha jis ka ye vo sehar to nahin

ye vo sehar to nahin jis ki aarzoo lekar
chale the yaar ki mil jaayegi kahi na kahi
falak ke dasht mein taaron ki aakhri manzil
kahi to hoga shab-e-sust mauj ka saahil
kahi to ja ke rukega safina-e-gham-e-dil
jawaan lahu ki pur-asraar shaahraahon se
chale jo yaar to daaman pe kitne haath pade
dayaar-e-husn ki be-sabr khwaab-gaahon se
pukaarti raheen baahen badan bulaate rahe
bahut aziz thi lekin rukh-e-sehar ki lagan
bahut qareen tha haseenaan-e-noor ka daaman
subuk subuk thi tamannaa dabii dabii thi thakan

suna hai ho bhi chuka hai firq-e-zulmat-e-noor
suna hai ho bhi chuka hai visaal-e-manjil-o-gaam
badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastoor
nishaat-e-wasl halaal-o-azaab-e-hijr-e-haraam
jigar ki aag nazar ki umang dil ki jalan
kisi pe chaara-e-hijraan ka kuch asar hi nahin
kahaan se aayi nigaar-e-saba kidhar ko gai
abhi chiragh-e-sar-e-rah ko kuch khabar hi nahin
abhi garaani-e-shab mein kami nahin aayi
nijaat-e-deed-o-dil ki ghadi nahin aayi
chale chalo ki vo manzil abhi nahin aayi

ये दाग़ दाग़ उजाला, ये शबगज़ीदा सहर
वो इन्तज़ार था जिस का, ये वो सहर तो नहीं

ये वो सहर तो नहीं जिस की आरज़ू लेकर
चले थे यार कि मिल जायेगी कहीं न कहीं
फ़लक के दश्त में तारों की आख़री मंज़िल
कहीं तो होगा शब-ए-सुस्त मौज् का साहिल
कहीं तो जा के रुकेगा सफ़िना-ए-ग़म-ए-दिल
जवाँ लहू की पुर-असरार शाहराहों से
चले जो यार तो दामन पे कितने हाथ पड़े
दयार-ए-हुस्न की बे-सब्र ख़्वाब-गाहों से
पुकारती रहीं बाहें, बदन बुलाते रहे
बहुत अज़ीज़ थी लेकिन रुख़-ए-सहर की लगन
बहुत क़रीं था हसीनान-ए-नूर का दामन
सुबुक सुबुक थी तमन्ना, दबी दबी थी थकन

सुना है हो भी चुका है फ़िरक़-ए-ज़ुल्मत-ए-नूर
सुना है हो भी चुका है विसाल-ए-मंज़िल-ओ-गाम
बदल चुका है बहुत अहल-ए-दर्द का दस्तूर
निशात-ए-वस्ल हलाल-ओ-अज़ाब-ए-हिज्र-ए-हराम
जिगर की आग, नज़र की उमंग, दिल की जलन
किसी पे चारा-ए-हिज्राँ का कुछ असर ही नहीं
कहाँ से आई निगार-ए-सबा, किधर को गई
अभी चिराग़-ए-सर-ए-रह को कुछ ख़बर ही नहीं
अभी गरानि-ए-शब में कमी नहीं आई
नजात-ए-दीद-ओ-दिल की घड़ी नहीं आई
चले चलो कि वो मंज़िल अभी नहीं आई

- Faiz Ahmad Faiz
10 Likes

Good morning Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Good morning Shayari Shayari