baat bas se nikal chali hai | बात बस से निकल चली है

  - Faiz Ahmad Faiz

baat bas se nikal chali hai
dil ki haalat sambhal chali hai

ab junoon had se badh chala hai
ab tabi'at bahl chali hai

ashk khoonaab ho chale hain
gham ki rangat badal chali hai

ya yoonhi bujh rahi hain shamaein
ya shab-e-hijr tal chali hai

laakh paighaam ho gaye hain
jab saba ek pal chali hai

jaao ab so raho sitaaro
dard ki raat dhal chali hai

बात बस से निकल चली है
दिल की हालत सँभल चली है

अब जुनूँ हद से बढ़ चला है
अब तबीअ'त बहल चली है

अश्क ख़ूनाब हो चले हैं
ग़म की रंगत बदल चली है

या यूँही बुझ रही हैं शमएँ
या शब-ए-हिज्र टल चली है

लाख पैग़ाम हो गए हैं
जब सबा एक पल चली है

जाओ अब सो रहो सितारो
दर्द की रात ढल चली है

  - Faiz Ahmad Faiz

Berozgari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faiz Ahmad Faiz

As you were reading Shayari by Faiz Ahmad Faiz

Similar Writers

our suggestion based on Faiz Ahmad Faiz

Similar Moods

As you were reading Berozgari Shayari Shayari