zindagi ke bahut masaail hain | ज़िंदगी के बहुत मसाइल हैं

  - Farhat Abbas Shah

zindagi ke bahut masaail hain
har qadam par pahaad haa'il hain

ai dil-e-be-qaraar muddat se
ham tiri vahshaton ke qaail hain

aise takte hain aap ki jaanib
jaise mausam nahin hain sail hain

phool khushboo hawa shajar baarish
ek teri taraf hi maail hain

fasla to bahut hi kam hai magar
darmiyaan mein kai masaail hain

us ke chehre ke saamne farhat
rang aur raushni bhi zaail hain

sirf seharaaon hi ki baat nahin
bastiyon mein bhi tere ghaayal hain

ज़िंदगी के बहुत मसाइल हैं
हर क़दम पर पहाड़ हाइल हैं

ऐ दिल-ए-बे-क़रार मुद्दत से
हम तिरी वहशतों के क़ाइल हैं

ऐसे तकते हैं आप की जानिब
जैसे मौसम नहीं हैं साइल हैं

फूल ख़ुश्बू हवा शजर बारिश
एक तेरी तरफ़ ही माइल हैं

फ़ासला तो बहुत ही कम है मगर
दरमियाँ में कई मसाइल हैं

उस के चेहरे के सामने 'फ़रहत'
रंग और रौशनी भी ज़ाइल हैं

सिर्फ़ सहराओं ही की बात नहीं
बस्तियों में भी तेरे घायल हैं

  - Farhat Abbas Shah

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Farhat Abbas Shah

As you were reading Shayari by Farhat Abbas Shah

Similar Writers

our suggestion based on Farhat Abbas Shah

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari