bahut pehle se un qadmon ki aahat jaan lete hain | बहुत पहले से उन क़दमों की आहट जान लेते हैं

  - Firaq Gorakhpuri

bahut pehle se un qadmon ki aahat jaan lete hain
tujhe ai zindagi ham door se pehchaan lete hain

meri nazrein bhi aise qaatilon ka jaan o eemaan hain
nigaahen milte hi jo jaan aur eimaan lete hain

jise kahti hai duniya kaamyaabi waaye nadaani
use kin qeemato'n par kaamyaab insaan lete hain

nigah-e-bada-goon yun to tiri baaton ka kya kehna
tiri har baat lekin ehtiyaatan chaan lete hain

tabeeyat apni ghabraati hai jab sunsaan raaton mein
ham aise mein tiri yaadon ki chadar taan lete hain

khud apna faisla bhi ishq mein kaafi nahin hota
use bhi kaise kar guzre jo dil mein thaan lete hain

hayaat-e-ishq ka ik ik nafs jaam-e-shahaadat hai
vo jaan-e-naaz-bardaaraan koi aasaan lete hain

ham-aahangi mein bhi ik chaashni hai ikhtilaafo'n ki
meri baatein b-unwaan-e-digar vo maan lete hain

tiri maqbooliyat ki wajh waahid teri ramziyyat
ki us ko maante hi kab hain jis ko jaan lete hain

ab is ko kufr maane ya bulandi-e-nazar jaanen
khuda-e-do-jahaan ko de ke ham insaan lete hain

jise soorat bataate hain pata deti hai seerat ka
ibaarat dekh kar jis tarah maani jaan lete hain

tujhe ghaata na hone denge kaarobaar-e-ulfat mein
ham apne sar tira ai dost har ehsaan lete hain

hamaari har nazar tujh se nayi saugandh khaati hai
to teri har nazar se ham naya paimaan lete hain

rafeeq-e-zindagi thi ab anees-e-waqt-e-aakhir hai
tira ai maut ham ye doosra ehsaan lete hain

zamaana waardaat-e-qalb sunne ko tarasta hai
isee se to sar aankhon par mera deewaan lete hain

firaq akshar badal kar bhes milta hai koi kaafir
kabhi ham jaan lete hain kabhi pehchaan lete hain

बहुत पहले से उन क़दमों की आहट जान लेते हैं
तुझे ऐ ज़िंदगी हम दूर से पहचान लेते हैं

मिरी नज़रें भी ऐसे क़ातिलों का जान ओ ईमाँ हैं
निगाहें मिलते ही जो जान और ईमान लेते हैं

जिसे कहती है दुनिया कामयाबी वाए नादानी
उसे किन क़ीमतों पर कामयाब इंसान लेते हैं

निगाह-ए-बादा-गूँ यूँ तो तिरी बातों का क्या कहना
तिरी हर बात लेकिन एहतियातन छान लेते हैं

तबीअत अपनी घबराती है जब सुनसान रातों में
हम ऐसे में तिरी यादों की चादर तान लेते हैं

ख़ुद अपना फ़ैसला भी इश्क़ में काफ़ी नहीं होता
उसे भी कैसे कर गुज़रें जो दिल में ठान लेते हैं

हयात-ए-इश्क़ का इक इक नफ़स जाम-ए-शहादत है
वो जान-ए-नाज़-बरदाराँ कोई आसान लेते हैं

हम-आहंगी में भी इक चाशनी है इख़्तिलाफ़ों की
मिरी बातें ब-उनवान-ए-दिगर वो मान लेते हैं

तिरी मक़बूलियत की वज्ह वाहिद तेरी रमज़िय्यत
कि उस को मानते ही कब हैं जिस को जान लेते हैं

अब इस को कुफ़्र मानें या बुलंदी-ए-नज़र जानें
ख़ुदा-ए-दो-जहाँ को दे के हम इंसान लेते हैं

जिसे सूरत बताते हैं पता देती है सीरत का
इबारत देख कर जिस तरह मानी जान लेते हैं

तुझे घाटा न होने देंगे कारोबार-ए-उल्फ़त में
हम अपने सर तिरा ऐ दोस्त हर एहसान लेते हैं

हमारी हर नज़र तुझ से नई सौगंध खाती है
तो तेरी हर नज़र से हम नया पैमान लेते हैं

रफ़ीक़-ए-ज़िंदगी थी अब अनीस-ए-वक़्त-ए-आख़िर है
तिरा ऐ मौत हम ये दूसरा एहसान लेते हैं

ज़माना वारदात-ए-क़ल्ब सुनने को तरसता है
इसी से तो सर आँखों पर मिरा दीवान लेते हैं

'फ़िराक़' अक्सर बदल कर भेस मिलता है कोई काफ़िर
कभी हम जान लेते हैं कभी पहचान लेते हैं

  - Firaq Gorakhpuri

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari