deedaar mein ik turfah deedaar nazar aaya
har baar chhupa koi har baar nazar aaya
chhaalon ko biyaabaan bhi gulzaar nazar aaya
jab chhed par aamada har khaar nazar aaya
subh-e-shab-e-hijraan ki vo chaak-garebaani
ik aalam-e-nairangi har taar nazar aaya
ho sabr ki betaabi ummeed ki maayusi
nairang-e-mohabbat bhi be-kaar nazar aaya
jab chashm-e-siyah teri thi chhaai hui dil par
is mulk ka har khitaa taataar nazar aaya
tu ne bhi to dekhi thi vo jaati hui duniya
kya aakhri lamhon mein beemaar nazar aaya
ghash kha ke gire moosa allah-ree maayusi
halka sa vo parda bhi deewaar nazar aaya
zarra ho ki qatra ho khum-khaana-e-hasti mein
makhmoor nazar aaya sarshaar nazar aaya
kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne
aur yun to hua jo kuchh be-kaar nazar aaya
ai ishq qasam tujh ko ma'amura-e-aalam ki
koi gham-e-furqat mein gham-khwaar nazar aaya
shab kat gai furqat ki dekha na firaq aakhir
tool-e-gham-e-hijraan bhi be-kaar nazar aaya
दीदार में इक तुर्फ़ा दीदार नज़र आया
हर बार छुपा कोई हर बार नज़र आया
छालों को बयाबाँ भी गुलज़ार नज़र आया
जब छेड़ पर आमादा हर ख़ार नज़र आया
सुब्ह-ए-शब-ए-हिज्राँ की वो चाक-गरेबानी
इक आलम-ए-नैरंगी हर तार नज़र आया
हो सब्र कि बेताबी उम्मीद कि मायूसी
नैरंग-ए-मोहब्बत भी बे-कार नज़र आया
जब चश्म-ए-सियह तेरी थी छाई हुई दिल पर
इस मुल्क का हर ख़ित्ता तातार नज़र आया
तू ने भी तो देखी थी वो जाती हुई दुनिया
क्या आख़री लम्हों में बीमार नज़र आया
ग़श खा के गिरे मूसा अल्लाह-री मायूसी
हल्का सा वो पर्दा भी दीवार नज़र आया
ज़र्रा हो कि क़तरा हो ख़ुम-ख़ाना-ए-हस्ती में
मख़मूर नज़र आया सरशार नज़र आया
क्या कुछ न हुआ ग़म से क्या कुछ न किया ग़म ने
और यूँ तो हुआ जो कुछ बे-कार नज़र आया
ऐ इश्क़ क़सम तुझ को मा'मूरा-ए-आलम की
कोई ग़म-ए-फ़ुर्क़त में ग़म-ख़्वार नज़र आया
शब कट गई फ़ुर्क़त की देखा न 'फ़िराक़' आख़िर
तूल-ए-ग़म-ए-हिज्राँ भी बे-कार नज़र आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri
our suggestion based on Firaq Gorakhpuri
As you were reading Aankhein Shayari Shayari