sar mein sauda bhi nahin dil mein tamannaa bhi nahin | सर में सौदा भी नहीं दिल में तमन्ना भी नहीं

  - Firaq Gorakhpuri

sar mein sauda bhi nahin dil mein tamannaa bhi nahin
lekin is tark-e-mohabbat ka bharosa bhi nahin

dil ki ginti na yagaano'n mein na begaano'n mein
lekin us jalwa-gah-e-naaz se uthata bhi nahin

meherbaani ko mohabbat nahin kahte ai dost
aah ab mujh se tiri ranjish-e-beja bhi nahin

ek muddat se tiri yaad bhi aayi na hamein
aur ham bhool gaye hon tujhe aisa bhi nahin

aaj ghaflat bhi un aankhon mein hai pehle se siva
aaj hi khaatir-e-beemaar shakeba bhi nahin

baat ye hai ki sukoon-e-dil-e-vahshi ka maqaam
kunj-e-zindaan bhi nahin wusa'at-e-sehra bhi nahin

are sayyaad humeen gul hain humeen bulbul hain
tu ne kuchh aah suna bhi nahin dekha bhi nahin

aah ye majma-e-ahbaab ye bazm-e-khaamosh
aaj mehfil mein firaq'-e-sukhan-aara bhi nahin

ye bhi sach hai ki mohabbat pe nahin main majboor
ye bhi sach hai ki tira husn kuchh aisa bhi nahin

yun to hangaame uthaate nahin deewana-e-ishq
magar ai dost kuchh aison ka thikaana bhi nahin

fitrat-e-husn to ma'aloom hai tujh ko hamdam
chaara hi kya hai b-juz sabr so hota bhi nahin

munh se ham apne bura to nahin kahte ki firaq
hai tira dost magar aadmi achha bhi nahin

सर में सौदा भी नहीं दिल में तमन्ना भी नहीं
लेकिन इस तर्क-ए-मोहब्बत का भरोसा भी नहीं

दिल की गिनती न यगानों में न बेगानों में
लेकिन उस जल्वा-गह-ए-नाज़ से उठता भी नहीं

मेहरबानी को मोहब्बत नहीं कहते ऐ दोस्त
आह अब मुझ से तिरी रंजिश-ए-बेजा भी नहीं

एक मुद्दत से तिरी याद भी आई न हमें
और हम भूल गए हों तुझे ऐसा भी नहीं

आज ग़फ़लत भी उन आँखों में है पहले से सिवा
आज ही ख़ातिर-ए-बीमार शकेबा भी नहीं

बात ये है कि सुकून-ए-दिल-ए-वहशी का मक़ाम
कुंज-ए-ज़िंदाँ भी नहीं वुसअ'त-ए-सहरा भी नहीं

अरे सय्याद हमीं गुल हैं हमीं बुलबुल हैं
तू ने कुछ आह सुना भी नहीं देखा भी नहीं

आह ये मजमा-ए-अहबाब ये बज़्म-ए-ख़ामोश
आज महफ़िल में 'फ़िराक़'-ए-सुख़न-आरा भी नहीं

ये भी सच है कि मोहब्बत पे नहीं मैं मजबूर
ये भी सच है कि तिरा हुस्न कुछ ऐसा भी नहीं

यूँ तो हंगामे उठाते नहीं दीवाना-ए-इश्क़
मगर ऐ दोस्त कुछ ऐसों का ठिकाना भी नहीं

फ़ितरत-ए-हुस्न तो मा'लूम है तुझ को हमदम
चारा ही क्या है ब-जुज़ सब्र सो होता भी नहीं

मुँह से हम अपने बुरा तो नहीं कहते कि 'फ़िराक़'
है तिरा दोस्त मगर आदमी अच्छा भी नहीं

  - Firaq Gorakhpuri

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Firaq Gorakhpuri

As you were reading Shayari by Firaq Gorakhpuri

Similar Writers

our suggestion based on Firaq Gorakhpuri

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari