watan ko kuch nahin khatra nizaam-e-zar hai khatre mein | वतन को कुछ नहीं ख़तरा निज़ाम-ए-ज़र है ख़तरे में - Habib Jalib

watan ko kuch nahin khatra nizaam-e-zar hai khatre mein
haqeeqat mein jo rehzan hai wahi rahbar hai khatre mein

jo baitha hai saf-e-maatam bichhaaye marg-e-zulmat par
vo nauhagar hai khatre mein vo daanish-war hai khatre mein

agar tashveesh laahaq hai to sultaanon ko laahaq hai
na tera ghar hai khatre mein na mera ghar hai khatre mein

jahaan iqbaal bhi nazr-e-khat-e-tanseeqh ho jaalib
wahan tujh ko shikaayat hai tira jauhar hai khatre mein

वतन को कुछ नहीं ख़तरा निज़ाम-ए-ज़र है ख़तरे में
हक़ीक़त में जो रहज़न है वही रहबर है ख़तरे में

जो बैठा है सफ़-ए-मातम बिछाए मर्ग-ए-ज़ुल्मत पर
वो नौहागर है ख़तरे में वो दानिश-वर है ख़तरे में

अगर तशवीश लाहक़ है तो सुलतानों को लाहक़ है
न तेरा घर है ख़तरे में न मेरा घर है ख़तरे में

जहाँ 'इक़बाल' भी नज़्र-ए-ख़त-ए-तनसीख़ हो 'जालिब'
वहाँ तुझ को शिकायत है तिरा जौहर है ख़तरे में

- Habib Jalib
0 Likes

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari