ek aurat jo mere liye muddaton
sham'a ki tarah aansu bahaati rahi
meri khaatir zamaane se munh mod kar
mere hi pyaar ke geet gaati rahi
mere gham ko muqaddar banaaye hue
muskuraati rahi
us ke gham ki kabhi main ne parwa na ki
us ne har haal mein naam mera liya
cheen kar us ke honton ki main ne hasi
teri dahleez par apna sar rakh diya
tu ne meri tarah mera dil tod kar
mujh pe ehsaan kiya
एक औरत जो मेरे लिए मुद्दतों
शम्अ की तरह आँसू बहाती रही
मेरी ख़ातिर ज़माने से मुँह मोड़ कर
मेरे ही प्यार के गीत गाती रही
मेरे ग़म को मुक़द्दर बनाए हुए
मुस्कुराती रही
उस के ग़म की कभी मैं ने पर्वा न की
उस ने हर हाल में नाम मेरा लिया
छीन कर उस के होंटों की मैं ने हँसी
तेरी दहलीज़ पर अपना सर रख दिया
तू ने मेरी तरह मेरा दिल तोड़ कर
मुझ पे एहसाँ किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Aurat Shayari Shayari