qaum ki behtari ka chhod khayal
fikr-e-taameer-e-mulk dil se nikaal
tera parcham hai tera dast-e-sawaal
be-zameeri ka aur kya ho maal
ab qalam se izaar-band hi daal
tang kar de gareeb par ye zameen
kham hi rakh aastaan-e-zar pe jabeen
aib ka daur hai hunar ka nahin
aaj husn-e-kamaal ko hai zawaal
ab qalam se izaar-band hi daal
kyun yahan subh-e-nau ki baat chale
kyun sitam ki siyaah raat dhale
sab barabar hain aasmaan ke tale
sab ko rajat-pasand kah kar taal
ab qalam se izaar-band hi daal
naam se peshtar laga ke ameer
har musalmaan ko bana ke faqeer
qasr-o-aivaan mein ho qayaam-pazeer
aur khutbon mein de umar ki misaal
ab qalam se izaar-band hi daal
aamariyyat ki ham-navaai mein
tera ham-sar nahin khudaai mein
baadshaahon ki rahnumaai mein
roz islaam ka juloos nikaal
ab qalam se izaar-band hi daal
laakh honton pe dam hamaara ho
aur dil subh ka sitaara ho
saamne maut ka nazaara ho
likh yahi theek hai mareez ka haal
ab qalam se izaar-band hi daal
क़ौम की बेहतरी का छोड़ ख़याल
फ़िक्र-ए-तामीर-ए-मुल्क दिल से निकाल
तेरा परचम है तेरा दस्त-ए-सवाल
बे-ज़मीरी का और क्या हो मआल
अब क़लम से इज़ार-बंद ही डाल
तंग कर दे ग़रीब पर ये ज़मीं
ख़म ही रख आस्तान-ए-ज़र पे जबीं
ऐब का दौर है हुनर का नहीं
आज हुस्न-ए-कमाल को है ज़वाल
अब क़लम से इज़ार-बंद ही डाल
क्यूँ यहाँ सुब्ह-ए-नौ की बात चले
क्यूँ सितम की सियाह रात ढले
सब बराबर हैं आसमाँ के तले
सब को रजअत-पसंद कह कर टाल
अब क़लम से इज़ार-बंद ही डाल
नाम से पेशतर लगा के अमीर
हर मुसलमान को बना के फ़क़ीर
क़स्र-ओ-ऐवाँ में हो क़याम-पज़ीर
और ख़ुत्बों में दे 'उमर' की मिसाल
अब क़लम से इज़ार-बंद ही डाल
आमरिय्यत की हम-नवाई में
तेरा हम-सर नहीं ख़ुदाई में
बादशाहों की रहनुमाई में
रोज़ इस्लाम का जुलूस निकाल
अब क़लम से इज़ार-बंद ही डाल
लाख होंटों पे दम हमारा हो
और दिल सुब्ह का सितारा हो
सामने मौत का नज़ारा हो
लिख यही ठीक है मरीज़ का हाल
अब क़लम से इज़ार-बंद ही डाल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Greed Shayari Shayari