choor tha zakhamon se dil zakhmi jigar bhi ho gaya
us ko rote the ki soona ye nagar bhi ho gaya
log usi soorat pareshaan hain jidhar bhi dekhiye
aur vo kahte hain koh-e-gham to sar bhi ho gaya
baam-o-dar par hai musallat aaj bhi shaam-e-alam
yun to in galiyon se khurshid-e-sehr bhi ho gaya
us sitamgar ki haqeeqat ham pe zaahir ho gai
khatm khush-fahmi ki manzil ka safar bhi ho gaya
चूर था ज़ख़्मों से दिल ज़ख़्मी जिगर भी हो गया
उस को रोते थे कि सूना ये नगर भी हो गया
लोग उसी सूरत परेशाँ हैं जिधर भी देखिए
और वो कहते हैं कोह-ए-ग़म तो सर भी हो गया
बाम-ओ-दर पर है मुसल्लत आज भी शाम-ए-अलम
यूँ तो इन गलियों से ख़ुर्शीद-ए-सहर भी हो गया
उस सितमगर की हक़ीक़त हम पे ज़ाहिर हो गई
ख़त्म ख़ुश-फ़हमी की मंज़िल का सफ़र भी हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Manzil Shayari Shayari