raushni si kabhi kabhi dil mein
manzil-e-be-nishaan se aati hai
laut kar noor ki kiran jaise
safar-e-la-makaan se aati hai
nau-e-insaan hai gosh-bar-awaaz
kya khabar kis jahaan se aati hai
apni fariyaad baazgasht na ho
ik sada aasmaan se aati hai
takhta-e-daar hai ki takhta-e-gul
boo-e-khoon gulistaan se aati hai
dil se aati hai baat lab pe hafiz
baat dil mein kahaan se aati hai
रौशनी सी कभी कभी दिल में
मंज़िल-ए-बे-निशाँ से आती है
लौट कर नूर की किरन जैसे
सफ़र-ए-ला-मकाँ से आती है
नौ-ए-इंसाँ है गोश-बर-आवाज़
क्या ख़बर किस जहाँ से आती है
अपनी फ़रियाद बाज़गश्त न हो
इक सदा आसमाँ से आती है
तख़्ता-ए-दार है कि तख़्ता-ए-गुल
बू-ए-ख़ूँ गुलिस्ताँ से आती है
दिल से आती है बात लब पे 'हफ़ीज़'
बात दिल में कहाँ से आती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Hoshiarpuri
our suggestion based on Hafeez Hoshiarpuri
As you were reading Aasman Shayari Shayari