aisi bhi kya jaldi pyaare jaane milen phir ya na milen ham
kaun kahega phir ye fasana baith bhi jaao sun lo koi dam
vasl ki sheereeni mein pinhaan hijr ki talkhi bhi hai kam kam
tum se milne ki bhi khushi hai tum se juda hone ka bhi gham
husn-o-ishq juda hote hain jaane kya toofaan uthega
husn ki aankhen bhi hain pur-nam ishq ki aankhen bhi hain pur-nam
meri wafa to nadaani thi tum ne magar ye kya thaani thi
kaash na karte mujh se mohabbat kaash na hota dil ka ye aalam
parwaane ki khaak pareshaan sham'a ki lau bhi larzaan larzaan
mehfil ki mehfil hai veeraan kaun kare ab kis ka maatam
kuchh bhi ho par in aankhon ne akshar ye aalam bhi dekha
ishq ki duniya naaz-e-saraapa husn ki duniya izz-e-mujassam
shahd-shikan honton ki larzish ishrat baaki ka gahvaara
daaira-e-imkaan-e-tamanna narm lachakti baanhon ke kham
apne apne dil ke haathon dono hi barbaad hue hain
main hoon aur wafa ka rona vo hain aur jafaa ka maatam
naakaami si naakaami hai mehroomi si mehroomi hai
dil ka manana saii-e-musalsal un ko bhulaana koshish-e-paiham
ahad-e-wafaa hai aur bhi mohkam teri judaai ke main qurbaan
teri judaai ke main qurbaan ahad-e-wafaa hai aur bhi mohkam
ऐसी भी क्या जल्दी प्यारे जाने मिलें फिर या न मिलें हम
कौन कहेगा फिर ये फ़साना बैठ भी जाओ सुन लो कोई दम
वस्ल की शीरीनी में पिन्हाँ हिज्र की तल्ख़ी भी है कम कम
तुम से मिलने की भी ख़ुशी है तुम से जुदा होने का भी ग़म
हुस्न-ओ-इश्क़ जुदा होते हैं जाने क्या तूफ़ान उठेगा
हुस्न की आँखें भी हैं पुर-नम इश्क़ की आँखें भी हैं पुर-नम
मेरी वफ़ा तो नादानी थी तुम ने मगर ये क्या ठानी थी
काश न करते मुझ से मोहब्बत काश न होता दिल का ये आलम
परवाने की ख़ाक परेशाँ शम्अ' की लौ भी लर्ज़ां लर्ज़ां
महफ़िल की महफ़िल है वीराँ कौन करे अब किस का मातम
कुछ भी हो पर इन आँखों ने अक्सर ये आलम भी देखा
इश्क़ की दुनिया नाज़-ए-सरापा हुस्न की दुनिया इज्ज़-ए-मुजस्सम
शहद-शिकन होंटों की लर्ज़िश इशरत बाक़ी का गहवारा
दायरा-ए-इम्कान-ए-तमन्ना नर्म लचकती बाँहों के ख़म
अपने अपने दिल के हाथों दोनों ही बरबाद हुए हैं
मैं हूँ और वफ़ा का रोना वो हैं और जफ़ा का मातम
नाकामी सी नाकामी है महरूमी सी महरूमी है
दिल का मनाना सई-ए-मुसलसल उन को भुलाना कोशिश-ए-पैहम
अहद-ए-वफ़ा है और भी मोहकम तेरी जुदाई के मैं क़ुर्बां
तेरी जुदाई के मैं क़ुर्बां अहद-ए-वफ़ा है और भी मोहकम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Hoshiarpuri
our suggestion based on Hafeez Hoshiarpuri
As you were reading Hijr Shayari Shayari