kahaan kahaan na tasavvur ne daam failaaye
hudood-e-shaam-o-sehr se nikal ke dekh aaye
nahin payaam rah-e-naama-o-payaam tu hai
abhi saba se kaho un ke dil ko behlaaye
ghuroor-e-jaada-shanaasi baja sahi lekin
suraagh-e-manzil-e-maqsud bhi koi paaye
khuda vo din na dikhaaye ki raahbar ye kahe
chale the jaane kahaan se kahaan nikal aaye
guzar gaya koi darmaanda-raah ye kehta
ab is fazaa mein koi qafile na thehraaye
na jaane un ke muqaddar mein kyun hai teera-shabee
vo ham-nava jo sehar ko qareeb-tar laaye
koi fareb-e-nazar hai ki tabaanaak fazaa
kise khabar ki yahan kitne chaand gehnaaye
gham-e-zamaana tiri zulmatein hi kya kam theen
ki badh chale hain ab un gesuon ke bhi saaye
bahut buland hai is se mera maqaam-e-ghazal
agarche main ne mohabbat ke geet bhi gaaye
hafiz apna muqaddar hafiz apna naseeb
gire the phool magar ham ne zakham hi khaaye
कहाँ कहाँ न तसव्वुर ने दाम फैलाए
हुदूद-ए-शाम-ओ-सहर से निकल के देख आए
नहीं पयाम रह-ए-नामा-ओ-पयाम तू है
अभी सबा से कहो उन के दिल को बहलाए
ग़ुरूर-ए-जादा-शनासी बजा सही लेकिन
सुराग़-ए-मंज़िल-ए-मक़्सूद भी कोई पाए
ख़ुदा वो दिन न दिखाए कि राहबर ये कहे
चले थे जाने कहाँ से कहाँ निकल आए
गुज़र गया कोई दरमाँदा-राह ये कहता
अब इस फ़ज़ा में कोई क़ाफ़िले न ठहराए
न जाने उन के मुक़द्दर में क्यूँ है तीरा-शबी
वो हम-नवा जो सहर को क़रीब-तर लाए
कोई फ़रेब-ए-नज़र है कि ताबनाक फ़ज़ा
किसे ख़बर कि यहाँ कितने चाँद गहनाए
ग़म-ए-ज़माना तिरी ज़ुल्मतें ही क्या कम थीं
कि बढ़ चले हैं अब उन गेसुओं के भी साए
बहुत बुलंद है इस से मिरा मक़ाम-ए-ग़ज़ल
अगरचे मैं ने मोहब्बत के गीत भी गाए
'हफ़ीज़' अपना मुक़द्दर 'हफ़ीज़' अपना नसीब
गिरे थे फूल मगर हम ने ज़ख़्म ही खाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Hoshiarpuri
our suggestion based on Hafeez Hoshiarpuri
As you were reading I love you Shayari Shayari