aa hi gaya vo mujh ko lahd mein utaarne | आ ही गया वो मुझ को लहद में उतारने

  - Hafeez Jalandhari

aa hi gaya vo mujh ko lahd mein utaarne
ghaflat zara na ki mere ghaflat-shiaar ne

o be-naseeb din ke tasavvur se khush na ho
chola badal liya hai shab-e-intizaar ne

ab tak aseer-e-daam-e-fareb-e-hayaat hoon
mujh ko bhula diya mere parwardigaar ne

nauhagaron ko bhi hai gala baithne ki fikr
jaata hoon aap apni ajal ko pukaarne

dekha na kaarobaar-e-mohabbat kabhi hafiz
furqat ka waqt hi na diya kaarobaar ne

आ ही गया वो मुझ को लहद में उतारने
ग़फ़लत ज़रा न की मिरे ग़फ़लत-शिआर ने

ओ बे-नसीब दिन के तसव्वुर से ख़ुश न हो
चोला बदल लिया है शब-ए-इंतिज़ार ने

अब तक असीर-ए-दाम-ए-फ़रेब-ए-हयात हूँ
मुझ को भुला दिया मिरे पर्वरदिगार ने

नौहागरों को भी है गला बैठने की फ़िक्र
जाता हूँ आप अपनी अजल को पुकारने

देखा न कारोबार-ए-मोहब्बत कभी 'हफ़ीज़'
फ़ुर्सत का वक़्त ही न दिया कारोबार ने

  - Hafeez Jalandhari

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari