majaaz ain-e-haqeeqat hai ba-safa ke liye | मजाज़ ऐन-ए-हक़ीक़त है बा-सफ़ा के लिए

  - Hafeez Jalandhari

majaaz ain-e-haqeeqat hai ba-safa ke liye
buton ko dekh raha hoon magar khuda ke liye

asar mein ho gaye kyun saath aasmaan haael
abhi to haath uthe hi nahin dua ke liye

hua bas ek hi naale mein dam fana apna
ye taaziyaana tha umr-e-gurez-paa ke liye

ilaahi ek gham-e-rozgaar kya kam tha
ki ishq bhej diya jaan-e-mubtala ke liye

hamein to daavar-e-mahshar ko chhodate hi bani
khata-e-ishq na kaafi hui saza ke liye

usi ko raah dikhaata hoon jo mitaaye mujhe
main hoon to noor magar chashm-e-naqsh-e-paa ke liye

ye jaanta hoon ki hai nisf shab magar saaqi
zara si chahiye ik mard-e-paarsa ke liye

ilaahi tere karam se mile may o maashooq
ab iltijaa hai barasti hui ghatta ke liye

hafiz aazim-e-kaaba hua hai jaane do
ab us pe rehm karo ai buto khuda ke liye

मजाज़ ऐन-ए-हक़ीक़त है बा-सफ़ा के लिए
बुतों को देख रहा हूँ मगर ख़ुदा के लिए

असर में हो गए क्यूँ सात आसमाँ हाएल
अभी तो हाथ उठे ही नहीं दुआ के लिए

हुआ बस एक ही नाले में दम फ़ना अपना
ये ताज़ियाना था उम्र-ए-गुरेज़-पा के लिए

इलाही एक ग़म-ए-रोज़गार क्या कम था
कि इश्क़ भेज दिया जान-ए-मुब्तला के लिए

हमें तो दावर-ए-महशर को छोड़ते ही बनी
ख़ता-ए-इश्क़ न काफ़ी हुई सज़ा के लिए

उसी को राह दिखाता हूँ जो मिटाए मुझे
मैं हूँ तो नूर मगर चश्म-ए-नक़श-ए-पा के लिए

ये जानता हूँ कि है निस्फ़ शब मगर साक़ी
ज़रा सी चाहिए इक मर्द-ए-पारसा के लिए

इलाही तेरे करम से मिले मय ओ माशूक़
अब इल्तिजा है बरसती हुई घटा के लिए

'हफ़ीज़' आज़िम-ए-काबा हुआ है जाने दो
अब उस पे रहम करो ऐ बुतो ख़ुदा के लिए

  - Hafeez Jalandhari

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari