zindagi ka lutf bhi aa jaayega
zindagaani hai to dekha jaayega
jis tarah lakdi ko kha jaata hai ghun
rafta rafta gham mujhe kha jaayega
hashr ke din meri chup ka maajra
kuchh na kuchh tum se bhi poocha jaayega
muskuraa kar munh chidaa kar ghur kar
ja rahe ho khair dekha jaayega
kar diya hai tum ne dil ko mutmain
dekh lena sakht ghabra jaayega
hazrat-e-dil kaam se jaaunga main
dil-lagi mein aap ka kya jaayega
doston ki bewafaai par hafiz
sabr karna bhi mujhe aa jaayega
ज़िंदगी का लुत्फ़ भी आ जाएगा
ज़िंदगानी है तो देखा जाएगा
जिस तरह लकड़ी को खा जाता है घुन
रफ़्ता रफ़्ता ग़म मुझे खा जाएगा
हश्र के दिन मेरी चुप का माजरा
कुछ न कुछ तुम से भी पूछा जाएगा
मुस्कुरा कर मुँह चिड़ा कर घूर कर
जा रहे हो ख़ैर देखा जाएगा
कर दिया है तुम ने दिल को मुतमइन
देख लेना सख़्त घबरा जाएगा
हज़रत-ए-दिल काम से जाऊँगा मैं
दिल-लगी में आप का क्या जाएगा
दोस्तों की बेवफ़ाई पर 'हफ़ीज़'
सब्र करना भी मुझे आ जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari
our suggestion based on Hafeez Jalandhari
As you were reading Dard Shayari Shayari