meri shaayeri hai nazaaron ki duniya | मिरी शाएरी है नज़ारों की दुनिया

  - Hafeez Jalandhari

meri shaayeri hai nazaaron ki duniya
ye naghma-saraa joibaaro'n ki duniya
ye hangaama-zaar aabshaaron ki duniya
falak-aashna kohsaaron ki duniya
ye phoolon ki basti bahaaron ki duniya
yahi hai mere shaah-kaaro'n ki duniya
meri shaayeri hai nazaaron ki duniya

meri shaayeri chaand taaron ki duniya
ye rangeen gharaunda tilism-e-zamaana
khilauno ka hai ik bada kaarkhaana
hawa baandhna aur ghubaare banaana
ghubaare bana kar fazaa mein udhaana
mere sher ka shobda hai puraana
meri shaayeri chaand taaron ki duniya

meri shaayeri bakht-yaaro'n ki duniya
falak shaamiyaana hai parbat kanaatein
isee ot mein deeda-o-dil ki ghaaten
hujuum-e-tamannaa khushi ki baraaten
jawaani ke din kaamraani ki raatein
mere sher ki ye bhi hain waaradaatein
meri shaayeri bakht-yaaro'n ki duniya

meri shaayeri khaar-zaaron ki duniya
tahee-dasti o pasti o khasta-haali
bagoolon se maamoor phoolon se khaali
vo besha ki hai mazraa-e-khushk-saali
jahaan abr bhoola hai dariya-nawaali
na bhooli use bhi meri fikrat-e-aali
meri shaayeri khaarzaaron ki duniya

meri shaayeri shahsawaron ki duniya
bahadur zaree soorma aur jiyaale
qaza jin ki dhaalen qadar jin ke bhaale
tahwvur ke ghodon ki baagen sambhaale
chale hain soo-e-razm-gah azm waale
mere sher hain ghaaziyo'n ke risaale
meri shaayeri shahsawaron ki duniya

meri shaayeri dil-figaaron ki duniya
ye fariyaad-e-khaamosh neechi nigaahen
ye armaan ki masdood hain jin ki raahen
fareb-e-wafa se kahaan tak nibaahen
mere deeda-o-dil hain in ki panaahen
mere sher aansu mere sher aahen
meri shaayeri dil-figaaron ki duniya

meri shaayeri be-qaraaron ki duniya
vo zarra ki raah-e-sukoon mein mukhil hai
vo qatra ki sad-aatish-e-mushtail hai
vo deeda ki bedaari-e-mustaqil hai
vo dil jis se dil garmi-e-aab-o-gil hai
mere sher mein bhi wahi ek dil hai
meri shaayeri be-qaraaron ki duniya

meri shaayeri khaaksaaron ki duniya
basera khas-o-khaar-o-khaashaak. par hai
magar haath har khoosha-e-taak par hai
agarche sar-e-be-khudi khaak par hai
dimaagh-e-khudi ouj-e-aflaak par hai
mere sher ki aankh idraak par hai
meri shaayeri khaaksaaron ki duniya

meri shaayeri baada-khwaaron ki duniya
chale jaam-e-jam bhi jame bazm-e-may bhi
magar saaqiya dekh ik aur shay bhi
ye fariyaad meri ki hai jis mein lay bhi
ye naala mera jo hai paaband-e-nay bhi
mera sher sheesha bhi nashsha bhi may bhi
meri shaayeri baada-khwaaron ki duniya

meri shaayeri dost-daaron ki duniya
ye duniya jahaan se alag ik jahaan hai
ye dil-nawaazi ka sikka ravaan hai
yahan aasmaan hai magar meherbaan hai
na jaane adavat ki duniya kahaan hai
mera sher ikhlaas ka tarjumaan hai
mari shaayeri dost-daaron ki duniya

meri shaayeri ghamgusaaron ki duniya
falak mehr-parwar zameen mah-jabeen hai
na vo sard-mehr aur na ye garm-keen hai
falak bhi haseen hai zameen bhi haseen hai
vo noor-aafreen ye zuhoor-aafreen hai
mere aaine mein kudoorat nahin hai
meri shaayeri ghamgusaaron ki duniya

meri shaayeri mere pyaaron ki duniya
vo pyaare ki soo-e-adam ja chuke hain
vo kaliyaan vo gunche jo murjha chuke hain
taraane jo aaraam farma chuke hain
khazaane jinhen log dafna chuke hain
mere sher mein zindagi pa chuke hain
meri shaayeri mere pyaaron ki duniya

meri shaayeri intizaaron ki duniya
kabhi main bhi ho jaaun azaad shaayad
aseeri ki ghat jaaye miyaad shaayad
sooni jaaye ik roz fariyaad shaayad
vo bhule se kar le mujhe yaad shaayad
wahan kaam aaye ye roodaad shaayad
meri shaayeri intizaaron ki duniya

meri shaayeri hai ishaaron ki duniya
falak par hain gardish mein chaand aur taare
zameen par bahaar-o-khizaan ke nazaare
barabar chale ja rahe hain bichaare
ki zauq-e-nazar de raha hai sahaare
magar kaun samjhe ye naazuk ishaare
meri shaayeri hai ishaaron ki duniya

मिरी शाएरी है नज़ारों की दुनिया
ये नग़्मा-सरा जोइबारों की दुनिया
ये हंगामा-ज़ार आबशारों की दुनिया
फ़लक-आश्ना कोहसारों की दुनिया
ये फूलों की बस्ती बहारों की दुनिया
यही है मिरे शाह-कारों की दुनिया
मिरी शाएरी है नज़ारों की दुनिया

मिरी शाएरी चाँद तारों की दुनिया
ये रंगीं घरौंदा तिलिस्म-ए-ज़माना
खिलौनों का है इक बड़ा कारख़ाना
हवा बाँधना और ग़ुबारे बनाना
ग़ुबारे बना कर फ़ज़ा में उड़ाना
मिरे शेर का शोबदा है पुराना
मिरी शाएरी चाँद तारों की दुनिया

मिरी शाएरी बख़्त-यारों की दुनिया
फ़लक शामियाना है पर्बत कनातें
इसी ओट में दीदा-ओ-दिल की घातें
हुजूम-ए-तमन्ना ख़ुशी की बरातें
जवानी के दिन कामरानी की रातें
मिरे शेर की ये भी हैं वारदातें
मिरी शाएरी बख़्त-यारों की दुनिया

मिरी शाएरी ख़ार-ज़ारों की दुनिया
तही-दस्ती ओ पस्ती ओ ख़स्ता-हाली
बगूलों से मामूर फूलों से ख़ाली
वो बेशा कि है मज़रा-ए-ख़ुश्क-साली
जहाँ अब्र भूला है दरिया-नवाली
न भूली उसे भी मिरी फ़िक्र-ए-आली
मिरी शाएरी ख़ारज़ारों की दुनिया

मिरी शाएरी शहसवारों की दुनिया
बहादुर जरी सूरमा और जियाले
क़ज़ा जिन की ढालें क़दर जिन के भाले
तहव्वुर के घोड़ों की बागें सँभाले
चले हैं सू-ए-रज़्म-गह अज़्म वाले
मिरे शेर हैं ग़ाज़ियों के रिसाले
मिरी शाएरी शहसवारों की दुनिया

मिरी शाएरी दिल-फ़िगारों की दुनिया
ये फ़रियाद-ए-ख़ामोश नीची निगाहें
ये अरमाँ कि मसदूद हैं जिन की राहें
फ़रेब-ए-वफ़ा से कहाँ तक निबाहें
मिरे दीदा-ओ-दिल हैं इन की पनाहें
मिरे शेर आँसू मिरे शेर आहें
मिरी शाएरी दिल-फ़िगारों की दुनिया

मिरी शाएरी बे-क़रारों की दुनिया
वो ज़र्रा कि राह-ए-सुकूँ में मुख़िल है
वो क़तरा कि सद-आतिश-ए-मुश्तइल है
वो दीदा कि बेदारी-ए-मुस्तक़िल है
वो दिल जिस से दिल गर्मी-ए-आब-ओ-गिल है
मिरे शेर में भी वही एक दिल है
मिरी शाएरी बे-क़रारों की दुनिया

मिरी शाएरी ख़ाकसारों की दुनिया
बसेरा ख़स-ओ-ख़ार-ओ-ख़ाशाक पर है
मगर हाथ हर ख़ोशा-ए-ताक पर है
अगरचे सर-ए-बे-ख़ुदी ख़ाक पर है
दिमाग़-ए-ख़ुदी औज-ए-अफ़्लाक पर है
मिरे शेर की आँख इदराक पर है
मिरी शाएरी ख़ाकसारों की दुनिया

मिरी शाएरी बादा-ख़्वारों की दुनिया
चले जाम-ए-जम भी जमे बज़्म-ए-मय भी
मगर साक़िया देख इक और शय भी
ये फ़रियाद मेरी कि है जिस में लय भी
ये नाला मिरा जो है पाबंद-ए-नय भी
मिरा शेर शीशा भी नश्शा भी मय भी
मिरी शाएरी बादा-ख़्वारों की दुनिया

मिरी शाएरी दोस्त-दारों की दुनिया
ये दुनिया जहाँ से अलग इक जहाँ है
ये दिल-नवाज़ी का सिक्का रवाँ है
यहाँ आसमाँ है मगर मेहरबाँ है
न जाने अदावत की दुनिया कहाँ है
मिरा शेर इख़्लास का तर्जुमाँ है
मरी शाएरी दोस्त-दारों की दुनिया

मिरी शाएरी ग़मगुसारों की दुनिया
फ़लक महर-पर्वर ज़मीं मह-जबीं है
न वो सर्द-मेहर और न ये गर्म-कीं है
फ़लक भी हसीं है ज़मीं भी हसीं है
वो नूर-आफ़रीं ये ज़ुहूर-आफ़रीं है
मिरे आइने में कुदूरत नहीं है
मिरी शाएरी ग़मगुसारों की दुनिया

मिरी शाएरी मेरे प्यारों की दुनिया
वो प्यारे कि सू-ए-अदम जा चुके हैं
वो कलियाँ वो ग़ुंचे जो मुरझा चुके हैं
तराने जो आराम फ़रमा चुके हैं
ख़ज़ाने जिन्हें लोग दफ़ना चुके हैं
मिरे शेर में ज़िंदगी पा चुके हैं
मिरी शाएरी मेरे प्यारों की दुनिया

मिरी शाएरी इंतिज़ारों की दुनिया
कभी मैं भी हो जाऊँ आज़ाद शायद
असीरी की घट जाए मीआद शायद
सुनी जाए इक रोज़ फ़रियाद शायद
वो भूले से कर ले मुझे याद शायद
वहाँ काम आए ये रूदाद शायद
मिरी शाएरी इंतिज़ारों की दुनिया

मिरी शाएरी है इशारों की दुनिया
फ़लक पर हैं गर्दिश में चाँद और तारे
ज़मीं पर बहार-ओ-ख़िज़ाँ के नज़ारे
बराबर चले जा रहे हैं बिचारे
कि ज़ौक़-ए-नज़र दे रहा है सहारे
मगर कौन समझे ये नाज़ुक इशारे
मिरी शाएरी है इशारों की दुनिया

  - Hafeez Jalandhari

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari