in talkh aansuon ko na yun munh bana ke pee
ye may hai khud-kasheed ise muskuraa ke pee
utarenge kis ke halq se ye dil-kharaash ghoont
kis ko payaam doon ki mere saath aa ke pee
mashroo-e-bazm hi talkhi-e-gham ka ilaaj hai
sheerini-e-kalaam zara si mila ke pee
waiz ki ab na maan agar jaan hai aziz
is daur mein ye cheez b-taur ik dava ke pee
bhar le piyaala khum-kadaa-e-zeest se hafiz
khoon-e-jigar hai saamne chal kar khuda ke pee
इन तल्ख़ आँसुओं को न यूँ मुँह बना के पी
ये मय है ख़ुद-कशीद इसे मुस्कुरा के पी
उतरेंगे किस के हल्क़ से ये दिल-ख़राश घूँट
किस को पयाम दूँ कि मिरे साथ आ के पी
मशरू-ए-बजम ही तल्ख़ी-ए-ग़म का इलाज है
शीरीनी-ए-कलाम ज़रा सी मिला के पी
वाइज़ की अब न मान अगर जान है अज़ीज़
इस दौर में ये चीज़ ब-तौर इक दवा के पी
भर ले पियाला ख़ुम-कदा-ए-ज़ीस्त से 'हफ़ीज़'
ख़ून-ए-जिगर है सामने चल कर ख़ुदा के पी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari
our suggestion based on Hafeez Jalandhari
As you were reading Mehboob Shayari Shayari