itna kyun naaraz ho mujh par yun mat daanto abboo jee | इतना क्यों नाराज़ हो मुझ पर यूँ मत डाँटो अब्बू जी

  - Haidar Bayabani

itna kyun naaraz ho mujh par yun mat daanto abboo jee
main hoon nanha-munna baccha itna jaano abboo jee
yun mat daanto abboo jee

tum bhi pehle bacche hi the ye mat bhoolo abboo jee
natkhat bhi mujh jaise hi the ye mat bhoolo abboo jee
jis din zid farmaai hogi daada se aur daadi se
us din maar bhi khaai hogi daada se aur daadi se
bachpan naam sharaarat ka hai tum bhi samjho abboo jee
yun mat daanto abboo jee

shaitani bhi karte honge sach batlaao abboo jee
man-maani bhi karte honge sach batlaao abboo jee
tod bhi daalen honge tum ne khel khilone chaacha ke
aur kabhi kar dale honge kapde gande daada ke
saari baatein yaad karo phir mujh ko dekho abboo jee
yun mat daanto abboo jee

naagaa bhi ho jaati hogi hafta mein school kabhi
padhte padhte roz sabq ko baithe honge bhool kabhi
teacher jee ne gussa ho kar tum ko murgh banaya hoga
hanste honge sab ham-joli khoob maza phir aaya hoga
jo kuchh mujh se bhool hui hai mua'af bhi kar do abboo jee
yun mat daanto abboo jee

इतना क्यों नाराज़ हो मुझ पर यूँ मत डाँटो अब्बू जी
मैं हूँ नन्हा-मुन्ना बच्चा इतना जानो अब्बू जी
यूँ मत डाँटो अब्बू जी

तुम भी पहले बच्चे ही थे ये मत भूलो अब्बू जी
नटखट भी मुझ जैसे ही थे ये मत भूलो अब्बू जी
जिस दिन ज़िद फ़रमाई होगी दादा से और दादी से
उस दिन मार भी खाई होगी दादा से और दादी से
बचपन नाम शरारत का है तुम भी समझो अब्बू जी
यूँ मत डाँटो अब्बू जी

शैतानी भी करते होंगे सच बतलाओ अब्बू जी
मन-मानी भी करते होंगे सच बतलाओ अब्बू जी
तोड़ भी डालें होंगे तुम ने खेल खिलौने चाचा के
और कभी कर डाले होंगे कपड़े गंदे दादा के
सारी बातें याद करो फिर मुझ को देखो अब्बू जी
यूँ मत डाँटो अब्बू जी

नाग़ा भी हो जाती होगी हफ़्ते में स्कूल कभी
पढ़ते पढ़ते रोज़ सबक़ को बैठे होंगे भूल कभी
टीचर जी ने ग़ुस्सा हो कर तुम को मुर्ग़ बनाया होगा
हँसते होंगे सब हम-जोली ख़ूब मज़ा फिर आया होगा
जो कुछ मुझ से भूल हुई है मुआ'फ़ भी कर दो अब्बू जी
यूँ मत डाँटो अब्बू जी

  - Haidar Bayabani

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Haidar Bayabani

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari