aankhon ne haal kah diya hont na phir hila sake
dil mein hazaar zakham the jo na unhen dikha sake
ghar mein jo ik charaagh tha tum ne use bujha diya
koi kabhi charaagh ham ghar mein na phir jala sake
shikwa nahin hai arz hai mumkin agar ho aap se
deeje mujh ko gham zaroor dil jo mera utha sake
waqt qareeb aa gaya haal ajeeb ho gaya
aise mein tera naam ham phir bhi na lab pe la sake
us ne bhula ke aap ko nazaron se bhi gira diya
naasir'-e-khasta-haal phir kyun na use bhula sake
आँखों ने हाल कह दिया होंट न फिर हिला सके
दिल में हज़ार ज़ख़्म थे जो न उन्हें दिखा सके
घर में जो इक चराग़ था तुम ने उसे बुझा दिया
कोई कभी चराग़ हम घर में न फिर जला सके
शिकवा नहीं है अर्ज़ है मुमकिन अगर हो आप से
दीजे मुझ को ग़म ज़रूर दिल जो मिरा उठा सके
वक़्त क़रीब आ गया हाल अजीब हो गया
ऐसे में तेरा नाम हम फिर भी न लब पे ला सके
उस ने भुला के आप को नज़रों से भी गिरा दिया
'नासिर'-ए-ख़स्ता-हाल फिर क्यूँ न उसे भुला सके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hakeem Nasir
our suggestion based on Hakeem Nasir
As you were reading Dil Shayari Shayari