mujhe gham mile use chaah kar meri chaahaton ka zawaal hai
kyun khafa hua kyun juda hua mera usse bas ye sawaal hai
use kya mile bhala ishq mein jise kha gai ho divaangi
na to ro sake na hi hans sake na to hijr hai na visaal hai
kahi khwaab mein tha mila mujhe usi khwaab mein vo bichhad gaya
koi apsara thi ya mahjabeen meri hasraton ka sawaal hai
kisi ek dar pe ruka nahin kisi ek ka bhi hua nahin
na vo be-wafa na vo ba-wafa yahi us haseen ka kamaal hai
meri dhadkano ka vo aks tha meri zindagi ka sutoon tha
vo bichhad gaya main bikhar gaya meri zindagi ka ye haal hai
मुझे ग़म मिले उसे चाह कर मेरी चाहतों का ज़वाल है
क्यों ख़फ़ा हुआ क्यों जुदा हुआ मेरा उससे बस ये सवाल है
उसे क्या मिले भला इश्क़ में जिसे खा गई हो दिवानगी
न तो रो सके न ही हॅंस सके न तो हिज्र है न विसाल है
कहीं ख़्वाब में था मिला मुझे उसी ख़्वाब में वो बिछड़ गया
कोई अप्सरा थी या महजबीं मेरी हसरतों का सवाल है
किसी एक दर पे रुका नहीं किसी एक का भी हुआ नहीं
न वो बे-वफ़ा न वो बा-वफ़ा यही उस हसीं का कमाल है
मेरी धड़कनों का वो अक्स था मेरी ज़िंदगी का सुतून था
वो बिछड़ गया मैं बिखर गया मेरी ज़िंदगी का ये हाल है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hameed Sarwar Bahraichi
our suggestion based on Hameed Sarwar Bahraichi
As you were reading Gussa Shayari Shayari