jalwa-numaai be-parwaai haan yahi reet jahaan ki hai | जल्वा-नुमाई बे-परवाई हाँ यही रीत जहाँ की है

  - Ibn E Insha

jalwa-numaai be-parwaai haan yahi reet jahaan ki hai
kab koi ladki man ka dareecha khol ke baahar jhaanki hai

aaj magar ik naar ko dekha jaane ye naar kahaan ki hai
misr ki moorat cheen ki gudiya devi hindostaan ki hai

mukh par roop se dhoop ka aalam baal andheri shab ki misaal
aankh nasheeli baat raseeli chaal bala ki baaki hai

insha'-ji use rok ke poochen tum ko to muft mila hai husn
kis liye phir baazaar-e-wafa mein tum ne ye jins giran ki hai

ek zara sa gosha de do apne paas jahaan se door
is basti mein ham logon ko haajat ek makaan ki hai

ahl-e-khirad taadeeb ki khaatir paathar le le aa pahunchen
jab kabhi ham ne shehr-e-ghazal mein dil ki baat bayaan ki hai

mulkon mulkon shehron shehron jogi ban kar ghooma kaun
qarya-b-qarya sahra-b-sahra khaak ye kis ne faanki hai

ham se jis ke taur hon baba dekhoge do ek hi aur
kehne ko to shehr-e-karachi basti dil-zadgaan ki hai

जल्वा-नुमाई बे-परवाई हाँ यही रीत जहाँ की है
कब कोई लड़की मन का दरीचा खोल के बाहर झाँकी है

आज मगर इक नार को देखा जाने ये नार कहाँ की है
मिस्र की मूरत चीन की गुड़िया देवी हिन्दोस्ताँ की है

मुख पर रूप से धूप का आलम बाल अँधेरी शब की मिसाल
आँख नशीली बात रसीली चाल बला की बाँकी है

'इंशा'-जी उसे रोक के पूछें तुम को तो मुफ़्त मिला है हुस्न
किस लिए फिर बाज़ार-ए-वफ़ा में तुम ने ये जिंस गिराँ की है

एक ज़रा सा गोशा दे दो अपने पास जहाँ से दूर
इस बस्ती में हम लोगों को हाजत एक मकाँ की है

अहल-ए-ख़िरद तादीब की ख़ातिर पाथर ले ले आ पहुँचे
जब कभी हम ने शहर-ए-ग़ज़ल में दिल की बात बयाँ की है

मुल्कों मुल्कों शहरों शहरों जोगी बन कर घूमा कौन
क़र्या-ब-क़र्या सहरा-ब-सहरा ख़ाक ये किस ने फाँकी है

हम से जिस के तौर हों बाबा देखोगे दो एक ही और
कहने को तो शहर-ए-कराची बस्ती दिल-ज़दगाँ की है

  - Ibn E Insha

Hindustan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Hindustan Shayari Shayari