sunte hain phir chhup chhup un ke ghar mein aate jaate ho | सुनते हैं फिर छुप छुप उन के घर में आते जाते हो - Ibn E Insha

sunte hain phir chhup chhup un ke ghar mein aate jaate ho
insha sahab naahak jee ko vehshat mein uljhaate ho

dil ki baat chhupani mushkil lekin khoob chhupaate ho
ban mein daana shehar ke andar deewane kahlaate ho

bekal bekal rahte ho par mehfil ke aadaab ke saath
aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jaate ho

peet mein aise laakh jatan hain lekin ik din sab naakaam
aap jahaan mein rusva hoge vaaz humein farmaate ho

hum se naam junoon ka qaaim hum se dasht ki aabaadi
hum se dard ka shikwa karte hum ko zakham dikhaate ho

सुनते हैं फिर छुप छुप उन के घर में आते जाते हो
'इंशा' साहब नाहक़ जी को वहशत में उलझाते हो

दिल की बात छुपानी मुश्किल लेकिन ख़ूब छुपाते हो
बन में दाना शहर के अंदर दीवाने कहलाते हो

बेकल बेकल रहते हो पर महफ़िल के आदाब के साथ
आँख चुरा कर देख भी लेते भोले भी बन जाते हो

पीत में ऐसे लाख जतन हैं लेकिन इक दिन सब नाकाम
आप जहाँ में रुस्वा होगे वाज़ हमें फ़रमाते हो

हम से नाम जुनूँ का क़ाइम हम से दश्त की आबादी
हम से दर्द का शिकवा करते हम को ज़ख़्म दिखाते हो

- Ibn E Insha
0 Likes

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari