ai matwaalo naaqon waalo dete ho kuchh us ka pata | ऐ मतवालो नाक़ों वालो देते हो कुछ उस का पता

  - Ibn E Insha

ai matwaalo naaqon waalo dete ho kuchh us ka pata
najd ke andar majnoon naami ek hamaara bhaai tha
aakhir us par kya kuchh beeti jaano to ahvaal kaho
maut mili ya leila paai deewane ka maal kaho
aql ki baatein kehne waale doston ne use samjhaaya
us ko to lekin chup si lagi thi na bola na baaz aaya
khair ab us ki baat ko chhodo deewaana phir deewaana
jaate jaate ham logon ka ek sandesa le jaana

aawaara aawaara phirna chhod ke mandli yaaron ki
dekh rahe hain dekhne waale insha ka ab haal wahi
kya achha khush-baash jawaan tha jaane kyun beemaar hua
uthte baithe meer ki baiten padhna us ka shiaar hua
taur-tareeqa ukhada-ukhada chehra peela sakht malool
raah mein jaise khaak pe koi masla masla baagh ka phool
shaam savere baal bikhere baitha baitha rota hai
naaqon waalo in logon ka aalam kaisa hota hai

apna bhi vo dost tha ham bhi paas us ke baith aate hain
idhar udhar ke qisse kah ke jee us ka bahaalate hain
ukhadi-ukhadi baat kare hai bhool ke agla yaaraana
kaun ho tum kis kaam se aaye ham ne na tum ko pahchaana
jaane ye kis ne chot lagaaee jaane ye kis ko pyaar kare
tumhi kaho ham kis ko dhunden aahen kheeche naam na le
peet mein aise jaan se yaaro kitne log guzarte hain
peet mein naahak mar nahin jaate peet to saare karte hain
ai matwaalo naaqon waalo nagri nagri jaate ho
kahi jo us ki jaan ka bairi mil jaaye ye baat kaho
chaak-girebaan ik deewaana firta hai hairaan hairaan
patthar se sar phod marega deewane ko sabr kahaan
tum chaaho to basti chhode tum chaaho to dasht basaaye
ai matwaalo naaqon waalo warna ik din ye hoga
tum logon se aate jaate poochhenge insha ka pata

ऐ मतवालो नाक़ों वालो देते हो कुछ उस का पता
नज्द के अंदर मजनूँ नामी एक हमारा भाई था
आख़िर उस पर क्या कुछ बीती जानो तो अहवाल कहो
मौत मिली या लैला पाई? दीवाने का मआल कहो
अक़्ल की बातें कहने वाले दोस्तों ने उसे समझाया
उस को तो लेकिन चुप सी लगी थी ना बोला ना बाज़ आया
ख़ैर अब उस की बात को छोड़ो दीवाना फिर दीवाना
जाते जाते हम लोगों का एक संदेसा ले जाना

आवारा आवारा फिरना छोड़ के मंडली यारों की
देख रहे हैं देखने वाले 'इंशा' का अब हाल वही
क्या अच्छा ख़ुश-बाश जवाँ था जाने क्यूँ बीमार हुआ
उठते बैठते मीर की बैतें पढ़ना उस का शिआर हुआ
तौर-तरीक़ा उखड़ा-उखड़ा चेहरा पीला सख़्त मलूल
राह में जैसे ख़ाक पे कोई मसला मसला बाग़ का फूल
शाम सवेरे बाल बिखेरे बैठा बैठा रोता है
नाक़ों वालो! इन लोगों का आलम कैसा होता है

अपना भी वो दोस्त था हम भी पास उस के बैठ आते हैं
इधर उधर के क़िस्से कह के जी उस का बहलाते हैं
उखड़ी-उखड़ी बात करे है भूल के अगला याराना
कौन हो तुम किस काम से आए? हम ने न तुम को पहचाना
जाने ये किस ने चोट लगाई जाने ये किस को प्यार करे
तुम्ही कहो हम किस को ढूँडें आहें खींचे नाम न ले
पीत में ऐसे जान से यारो कितने लोग गुज़रते हैं
पीत में नाहक़ मर नहीं जाते पीत तो सारे करते हैं
ऐ मतवालो नाक़ों वालो! नगरी नगरी जाते हो
कहीं जो उस की जान का बैरी मिल जाए ये बात कहो
चाक-गिरेबाँ इक दीवाना फिरता है हैराँ हैराँ
पत्थर से सर फोड़ मरेगा दीवाने को सब्र कहाँ
तुम चाहो तो बस्ती छोड़े तुम चाहो तो दश्त बसाए
ऐ मतवालो नाक़ों वालो वर्ना इक दिन ये होगा
तुम लोगों से आते जाते पूछेंगे 'इंशा' का पता

  - Ibn E Insha

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari