jungle jungle shauq se ghoomo dasht ki sair mudaam karo | जंगल जंगल शौक़ से घूमो दश्त की सैर मुदाम करो

  - Ibn E Insha

jungle jungle shauq se ghoomo dasht ki sair mudaam karo
insha'-ji ham paas bhi lekin raat ki raat qayaam karo

ashkon se apne dil ko hikaayat daaman par irqaam karo
ishq mein jab yahi kaam hai yaar wale ke khuda ka naam karo

kab se khade hain bar mein khiraaj-e-ishq ke liye sar-e-raahguzaar
ek nazar se saada-rukho ham saada-dilon ko ghulaam karo

dil ki mataa to loot rahe ho husn ki di hai zakaat kabhi
roz-e-hisaab qareeb hai logo kuchh to savaab ka kaam karo

meer se bai't ki hai to insha meer ki bai't bhi hai zaroor
shaam ko ro ro subh karo ab subh ko ro ro shaam karo

जंगल जंगल शौक़ से घूमो दश्त की सैर मुदाम करो
'इंशा'-जी हम पास भी लेकिन रात की रात क़याम करो

अश्कों से अपने दिल को हिकायत दामन पर इरक़ाम करो
इश्क़ में जब यही काम है यार वले के ख़ुदा का नाम करो

कब से खड़े हैं बर में ख़िराज-ए-इश्क़ के लिए सर-ए-राहगुज़ार
एक नज़र से सादा-रुख़ो हम सादा-दिलों को ग़ुलाम करो

दिल की मताअ' तो लूट रहे हो हुस्न की दी है ज़कात कभी
रोज़-ए-हिसाब क़रीब है लोगो कुछ तो सवाब का काम करो

'मीर' से बैअ'त की है तो 'इंशा' मीर की बैअ'त भी है ज़रूर
शाम को रो रो सुब्ह करो अब सुब्ह को रो रो शाम करो

  - Ibn E Insha

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari