ghabra gaye hain waqt ki tanhaaiyon se ham
ukta chuke hain apni hi parchaaiyon se ham
saaya mere vujood ki had se guzar gaya
ab ajnabi hain aap shanaasaaiyon se ham
ye soch kar hi khud se mukhaatib rahe sada
kya guftugoo karenge tamaashaaiyon se ham
ab denge kya kisi ko ye jhonke bahaar ke
maangenge dil ke zakham bhi purwaaiyon se ham
zarrein kya bahaaron ko mud mud ke dekhiye
maanoos the khizaan ki dil-aasaaiyon se ham
घबरा गए हैं वक़्त की तन्हाइयों से हम
उकता चुके हैं अपनी ही परछाइयों से हम
साया मेरे वजूद की हद से गुज़र गया
अब अजनबी हैं आप शनासाइयों से हम
ये सोच कर ही ख़ुद से मुख़ातिब रहे सदा
क्या गुफ़्तुगू करेंगे तमाशाइयों से हम
अब देंगे क्या किसी को ये झोंके बहार के
माँगेंगे दिल के ज़ख़्म भी पुरवाइयों से हम
'ज़र्रीं' क्या बहारों को मुड़ मुड़ के देखिए
मानूस थे ख़िज़ाँ की दिल-आसाइयों से हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iffat Zarrin
our suggestion based on Iffat Zarrin
As you were reading Gulshan Shayari Shayari