manzilen aayein to raaste kho gaye | मंज़िलें आईं तो रस्ते खो गए

  - Iffat Zarrin

manzilen aayein to raaste kho gaye
aabgeene the ki patthar ho gaye

be-gunaahi zulmato_n mein qaid thi
daagh phir kis ke samundar dho gaye

umr bhar kaatenge faslen khoon ki
zakham dil mein beej aisa bo gaye

dekh kar insaan ki bechaargi
shaam se pehle parinde so gaye

an-ginat yaadein mere hamraah theen
ham hi zarrein darmiyaan mein kho gaye

मंज़िलें आईं तो रस्ते खो गए
आबगीने थे कि पत्थर हो गए

बे-गुनाही ज़ुल्मतों में क़ैद थी
दाग़ फिर किस के समुंदर धो गए

उम्र भर काटेंगे फ़सलें ख़ून की
ज़ख़्म दिल में बीज ऐसा बो गए

देख कर इंसान की बेचारगी
शाम से पहले परिंदे सो गए

अन-गिनत यादें मेरे हमराह थीं
हम ही 'ज़र्रीं' दरमियाँ में खो गए

  - Iffat Zarrin

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iffat Zarrin

As you were reading Shayari by Iffat Zarrin

Similar Writers

our suggestion based on Iffat Zarrin

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari